Sufinama

tere KHun-e-arzu ko jo samajh raha hai pani

Aaqil Revarhvi

tere KHun-e-arzu ko jo samajh raha hai pani

Aaqil Revarhvi

MORE BYAaqil Revarhvi

    tire ḳhūn-e-ārzū ko jo samajh rahā hai paanī

    tirī us ne dar-haqīqat koī qadr na jaanī

    mujhe ḳhaak ab malegā vo bahār-e-zindagānī

    tire 'ishq ne jo zālim mirī phūñk javānī

    kahīñ lai na TuuT jaa.e mire naġhma-e-vafā

    ki shikasta ho chalā hai mirā sāz-e-zindagānī

    ye jale-jale se tinke ye bujhā-bujhā nasheman

    mire haal par huī hai ye falak mehrbānī

    shab-e-ġham āñdhiy.oñ mujhe e'tibār kam hai

    tumhīñ ab bujhā ke jaanā ye charāġh-e-zindagānī

    karūñ kis tarah mukammal ġham-e-ishq fasāna

    ġham-e-’ishq lā-fanā hai mirī zindagī hai faanī

    mire sher sun ke dushman bhī ye kah rahe haiñ 'āqil

    ki ġhazab hai latāfat balā hai ravānī

    tere KHun-e-arzu ko jo samajh raha hai pani

    teri us ne dar-haqiqat koi qadr hi na jaani

    mujhe KHak ab malega wo bahaar-e-zindagani

    tere 'ishq ne jo zalim meri phunk di jawani

    kahin lai na TuT jae mere naghma-e-wafa ki

    ki shikasta ho chala hai mera saz-e-zindagani

    ye jale-jale se tinke ye bujha-bujha nasheman

    mere haal par hui hai ye falak ki mehrbani

    shab-e-gham ki aandhiyon ka mujhe e'tibar kam hai

    tumhin ab bujha ke jaana ye charagh-e-zindagani

    karun kis tarah mukammal gham-e-ishq ka fasana

    gham-e-’ishq la-fana hai meri zindagi hai fani

    mere sher sun ke dushman bhi ye kah rahe hain 'aqil

    ki ghazab ki hai latafat tu bala ki hai rawani

    Source :
    • Book : Sub'he Baaraa'n (Pg. 37)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now