Sufinama

āankhoñ meñ murawwat tirī ai yar kahāñ hai

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

āankhoñ meñ murawwat tirī ai yar kahāñ hai

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

    ā.ankhoñ meñ muravvat tirī ai yaar kahāñ hai

    pūchhā na kabhū mujh ko vo bīmār kahāñ hai

    nau ḳhat to hazāroñ haiñ gulistān-e-jahāñ meñ

    hai saaf to yuuñ tujh numūdār kahāñ hai

    ārām mujhe sāya-e-tūbā meñ nahīñ hai

    batlāo ki vo sāya-e-dīvār kahāñ hai

    laao to lahū aaj piyūñ duḳhtar-e-raz

    ai muhtasibo dekho vo murdār kahāñ hai

    furqat meñ us abrū galā kāTūñgā apnā

    myaañ diijo use dam mirī talvār kahāñ hai

    jin se ki ho marbūt vahī tum ko hai maimūn

    insān sohbat tumheñ darkār kahāñ hai

    dekhūñ jo tujhe ḳhvāb meñ maiñ ai mah-e-kan.āñ

    aisā to mirā tāla-e-bedār kahāñ hai

    sunte us āvāz kuchh ho ga.ī vahshat

    dekho to vo zanjīr jhankār kahāñ hai

    din chhīne vo jab dekhiyo ġhārat-garī us

    tab sochiyo ḳhurshīd dastār kahāñ hai

    us din ke huuñ sadqe ki khīñche hue talvār

    ye pūchhtā aave vo gunahgār kahāñ hai

    hañste to ho tum mujh pe va-lekin koī din ko

    ro.o.ge ki vo merā giraftār kahāñ hai

    ai ġham mujhe yaañ ahl-e-ta.ayyush ne hai gherā

    is bhiiḌ meñ ai mire ġham-ḳhvār kahāñ hai

    jab tak ki vo jhāñke thā idhar mahr se ham to

    vāqif na the mahr par anvār kahāñ hai

    us mah ke sarakte ye andher hai 'ehsāñ'

    ma.alūm nahīñ raḳhna-e-dīvār kahāñ hai

    āankhoñ meñ murawwat tirī ai yar kahāñ hai

    pūchhā na kabhū mujh ko wo bīmār kahāñ hai

    nau ḳhat to hazāroñ haiñ gulistān-e-jahāñ meñ

    hai saf to yuñ tujh numūdār kahāñ hai

    ārām mujhe sāya-e-tūbā meñ nahīñ hai

    batlāo ki wo sāya-e-dīwār kahāñ hai

    lao to lahū aaj piyūñ duḳhtar-e-raz

    ai muhtasibo dekho wo murdār kahāñ hai

    furqat meñ us abrū galā kāTūñgā apnā

    myañ dijo use dam mirī talwār kahāñ hai

    jin se ki ho marbūt wahī tum ko hai maimūn

    insān sohbat tumheñ darkār kahāñ hai

    dekhūñ jo tujhe ḳhwāb meñ maiñ ai mah-e-kanāñ

    aisā to mirā tāla-e-bedār kahāñ hai

    sunte us āwāz kuchh ho gaī wahshat

    dekho to wo zanjīr jhankār kahāñ hai

    din chhīne wo jab dekhiyo ġhārat-garī us

    tab sochiyo ḳhurshīd dastār kahāñ hai

    us din ke huñ sadqe ki khīñche hue talwār

    ye pūchhtā aawe wo gunahgār kahāñ hai

    hañste to ho tum mujh pe wa-lekin koī din ko

    rooge ki wo merā giraftār kahāñ hai

    ai ġham mujhe yañ ahl-e-tayyush ne hai gherā

    is bhiḌ meñ ai mere ġham-ḳhwār kahāñ hai

    jab tak ki wo jhāñke thā idhar mahr se hum to

    wāqif na the mahr par anwār kahāñ hai

    us mah ke sarakte ye andher hai 'ehsāñ'

    malūm nahīñ raḳhna-e-dīwār kahāñ hai

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Ehsan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now