Sufinama

bā-hosh wahī haiñ dīwāne ulfat meñ jo aisā karte haiñ

Fana Bulandshahri

bā-hosh wahī haiñ dīwāne ulfat meñ jo aisā karte haiñ

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    bā-hosh vahī haiñ dīvāne ulfat meñ jo aisā karte haiñ

    har vaqt unhī ke jalvoñ se īmān saudā karte haiñ

    ham ahl-e-junūñ meñ bas yahī me.arāj-e-ibādat hai apnī

    miltā hai jab un naqsh-e-qadam ham shukr sajda karte haiñ

    milte haiñ nazar hosh uḌte haiñ mastī bhī barasne lagtī hai

    ma.alūm nahīñ vo kaun mai āñkhoñ se pilāyā karte haiñ

    paate haiñ vahī maqsūd-e-nazar miltī hai unheñ manzil un

    jo un tamannā meñ har dam ḳhud apnī tamannā karte haiñ

    hai shauq yahī mastānoñ ko hai sharm yahī dīvānoñ ko

    siine se lagā kar yaad us us shoḳh puujā karte haiñ

    māyūs na ho nādān na ban dil soz-e-alam se jalne de

    jo chāhne vaale haiñ un ke vo aag se khelā karte haiñ

    ham kis ke hue dil kis ne liyā vo kaun hai kyā hai kyā kahiye

    ye raaz abhī tak khul na sakā ham kis tamannā karte haiñ

    maiḳhāna-e-hastī meñ ham ne ye rañg nayā dekhā saaqī

    jin bāda-kashoñ ko hosh nahīñ vo hosh da.avā karte haiñ

    ye kaisī jafā.eñ hotī haiñ ye kaisī adā hai un 'fanā'

    ham husn parda rakhte haiñ vo ishq da.avā karte haiñ

    bā-hosh wahī haiñ dīwāne ulfat meñ jo aisā karte haiñ

    har waqt unhī ke jalwoñ se īmān saudā karte haiñ

    hum ahl-e-junūñ meñ bas yahī mearāj-e-ibādat hai apnī

    miltā hai jab un naqsh-e-qadam hum shukr sajda karte haiñ

    milte haiñ nazar hosh uḌte haiñ mastī bhī barasne lagtī hai

    malūm nahīñ wo kaun mai āñkhoñ se pilāyā karte haiñ

    pate haiñ wahī maqsūd-e-nazar miltī hai unheñ manzil un

    jo un tamannā meñ har dam ḳhud apnī tamannā karte haiñ

    hai shauq yahī mastānoñ ko hai sharm yahī dīwānoñ ko

    sine se lagā kar yaad us us shoḳh pujā karte haiñ

    māyūs na ho nādān na ban dil soz-e-alam se jalne de

    jo chāhne wale haiñ un ke wo aag se khelā karte haiñ

    hum kis ke hue dil kis ne liyā wo kaun hai kyā hai kyā kahiye

    ye raaz abhī tak khul na sakā hum kis tamannā karte haiñ

    maiḳhāna-e-hastī meñ hum ne ye rañg nayā dekhā saqī

    jin bāda-kashoñ ko hosh nahīñ wo hosh dawā karte haiñ

    ye kaisī jafāeñ hotī haiñ ye kaisī adā hai un 'fanā'

    hum husn parda rakhte haiñ wo ishq dawā karte haiñ

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now