Sufinama

be-murawwat bewafā nā-mehrbāñ nā-āshnā

Meer Muhammad Bedar

be-murawwat bewafā nā-mehrbāñ nā-āshnā

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    be-muravvat bevafā nā-mehrbāñ nā-āshnā

    jis ke ye ausāf koī us se ho kyā āshnā

    tañg ho saa.e se apne jis ko ho nā-āshnā

    vo but-e-vahshī-e-tabī.at kis hogā āshnā

    vaah vaah ai dil-bar-e-kaj-fahm yūñhī chāhiye

    ham se ho nā-āshnā ġhairoñ se honā āshnā

    bad-mizājī nā-ḳhushī āzurdagī kis vāste

    gar bure ham haiñ to ho jiye aur se āshnā

    ye sitam ye dard ye ġham aur alam mujh par huā

    kaash ki tujh se maiñ ai zālim na hotā āshnā

    ne tarahhum ne karam ne mehr hai ai bevafā

    kis tavaqqo par bhalā ho koī terā āshnā

    āshnā kahne ko yuuñ to aap ke hoveñge sau

    par koī ai mehrbāñ aisā na hogā āshnā

    ḳhair-ḳhvāh o muḳhlis o fidvī jo kuchh kahiye so huuñ

    aib kyā hai gar rahe ḳhidmat meñ mujh āshnā

    āshnā.ī tavaqqo.a kis se ho 'bedār' phir

    ho gayā begāna jab aisā apnā āshnā

    be-murawwat bewafā nā-mehrbāñ nā-āshnā

    jis ke ye ausāf koī us se ho kyā āshnā

    tañg ho sae se apne jis ko ho nā-āshnā

    wo but-e-wahshī-e-tabīat kis hogā āshnā

    wah wah ai dil-bar-e-kaj-fahm yūñhī chāhiye

    hum se ho nā-āshnā ġhairoñ se honā āshnā

    bad-mizājī nā-ḳhushī āzurdagī kis wāste

    gar bure hum haiñ to ho jiye aur se āshnā

    ye sitam ye dard ye ġham aur alam mujh par huā

    kash ki tujh se maiñ ai zālim na hotā āshnā

    ne tarahhum ne karam ne mehr hai ai bewafā

    kis tawaqqo par bhalā ho koī terā āshnā

    āshnā kahne ko yuñ to aap ke howeñge sau

    par koī ai mehrbāñ aisā na hogā āshnā

    ḳhair-ḳhwāh o muḳhlis o fidwī jo kuchh kahiye so huñ

    aib kyā hai gar rahe ḳhidmat meñ mujh āshnā

    āshnāī tawaqqoa kis se ho 'bedār' phir

    ho gayā begāna jab aisā apnā āshnā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now