Sufinama

jhuk ke saghar se gale milta hai paimane ki id

Bedam Shah Warsi

jhuk ke saghar se gale milta hai paimane ki id

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    jhuk ke sāġhar se gale miltā hai paimāne ii.d

    apnī hastī se guzar jaanā hai mastāne ii.d

    tujh pe sadqe ho ke mar jaanā merī me.arāj hai

    sham.a par qurbān ho jaanā hai parvāne ii.d

    miltā āġhosh-e-lahad se ke gar miltā na

    ab ke vīrāne meñ hotī tere dīvāne ii.d

    ham-baġhal rakhtā huuñ tasvīr-e-ḳhyālī yaar

    dekh le agar koī mere sanam-ḳhāne ii.d

    ye bhī koī ii.d hai 'bedam' ki saaqī hai na jaam

    ii.d to jab thī ki hotī mujh ko mai-ḳhāne ii.d

    jhuk ke saghar se gale milta hai paimane ki id

    apni hasti se guzar jaana hai mastane ki id

    tujh pe sadqe ho ke mar jaana meri mearaj hai

    shama par qurban ho jaana hai parwane ki id

    milta aaghosh-e-lahad se ja ke gar milta na tu

    ab ke virane mein hoti tere diwane ki id

    ham-baghal rakhta hun taswir-e-KHyali yar ki

    dekh le agar koi mere sanam-KHane ki id

    ye bhi koi id hai 'bedam' ki saqi hai na jam

    id to jab thi ki hoti mujh ko mai-KHane ki id

    Source :
    • Book : Armaghan-e-Bedam
    • Author :Bedam Shah Warsi
    • Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1918)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now