Sufinama

bosa-e-ruKH ka jo main sail hua

Aughat Shah Warsi

bosa-e-ruKH ka jo main sail hua

Aughat Shah Warsi

MORE BYAughat Shah Warsi

    bosa-e-ruḳh jo maiñ saa.il huā

    hañs ke bole bhī is qābil huā

    shahr chhūTā ḳhāna-vīrānī huī

    āshiqī meñ ye hameñ hāsil huā

    nāvik-e-mizgāñ-e-jānāñ dekh kar

    chhan gayā siina jigar ghāyal huā

    jis gunjā.ish na ho kaunain meñ

    us ke rahne makāñ ye dil huā

    ban ke aadam apne nazzāra ko ḳhud

    jalva-farmā vo mah-e-kāmil huā

    jis ke haamī hazrat-e-'vāris' hue

    hal usī uqda-e-mushkil huā

    sun ke 'aughat' fuġhāñ bolā vo but

    us pe kyā qahr-e-ḳhudā nāzil huā

    bosa-e-ruKH ka jo main sail hua

    hans ke bole tu bhi is qabil hua

    shahr chhuTa KHana-virani hui

    aashiqi mein ye hamein hasil hua

    nawik-e-mizgan-e-jaanan dekh kar

    chhan gaya sina jigar ghayal hua

    jis ki gunjaish na ho kaunain mein

    us ke rahne ka makan ye dil hua

    ban ke aadam apne nazzara ko KHud

    jalwa-farma wo mah-e-kaamil hua

    jis ke hami hazrat-e-'waris' hue

    hal usi ka uqda-e-mushkil hua

    sun ke 'aughat' ki fughan bola wo but

    us pe kya qahr-e-KHuda nazil hua

    Source :
    • Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 11)
    • Author : Aughat Shah Warsi
    • Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now