Sufinama

dida-o-dil mein mere rakkha hai kya ai tuKHm-e-ashk

Ameer Minai

dida-o-dil mein mere rakkha hai kya ai tuKHm-e-ashk

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    dīda-o-dil meñ mire rakkhā hai kyā ai tuḳhm-e-ashk

    rañg paidā kar zamīñ meñ mil ke daane tarah

    sūrat-e-ā.īna ai dil tā-kujā dīdār-e-ruḳh

    ḳhaak chhān ab kūcha-e-gesū meñ shāne tarah

    dard-e-dil avval to vo āshiq sunte nahīñ

    aur jo sunte haiñ to sunte haiñ fasāne tarah

    nāvak-andāz-e-nigah achchhī nahīñ ye tāñk-jhāñk

    uḌ na jaaye dekhnā koī nishāne tarah

    bāda-ḳhvār tum ko kyā ḳhurshīd-e-mahshar hai ḳhauf

    chhā rahā hai abr-e-rahmat shāmiyāne tarah

    jab kabhī aatā hai dil meñ terī choTī ḳhayāl

    choT paḌtī hai jigar par tāziyāne tarah

    ek baar ai barq taklīf aur kar jhagḌā miTe

    phūñk de mujh ko bhī mere āshiyāne tarah

    tum to aate qayāmat karte ho sāhab bapā

    dil meñ aate ho to aao ghar meñ aane tarah

    dar se ka.abe ke nahīñ uThtā sar apnā is liye

    is meñ bhī kuchh kuchh hai tere āstāne tarah

    o kamāñ-abrū idhar bhī sarsarī koī nigāh

    tiir ke mushtāq ham bhī haiñ nishāne tarah

    dil ko aa jaatā hai yād-e-sozan-e-mizgāñ se chain

    zaḳhm meñ achchhī hai ye Tāñke lagāne tarah

    kitne bedard is zamāne ke atibbā haiñ 'amīr'

    haal bīmāroñ sunte haiñ fasāne tarah

    dida-o-dil mein mere rakkha hai kya ai tuKHm-e-ashk

    rang paida kar zamin mein mil ke dane ki tarah

    surat-e-aina ai dil ta-kuja didar-e-ruKH

    KHak chhan ab kucha-e-gesu mein shane ki tarah

    dard-e-dil awwal to wo aashiq ka sunte hi nahin

    aur jo sunte hain to sunte hain fasane ki tarah

    nawak-andaz-e-nigah achchhi nahin ye tank-jhank

    uD na jaye dekhna koi nishane ki tarah

    baada-KHwar tum ko kya KHurshid-e-mahshar ka hai KHauf

    chha rahā hai abr-e-rahmat shamiyane ki tarah

    jab kabhī aata hai dil mein teri choTi ka KHayal

    choT paDti hai jigar par taziyane ki tarah

    ek bar ai barq taklif aur kar jhagDa miTe

    phunk de mujh ko bhi mere aashiyane ki tarah

    tum to aate hi qayamat karte ho sahab bapa

    dil mein aate ho to aao ghar mein aane ki tarah

    dar se kabe ke nahin uThta sar apna is liye

    is mein bhi kuchh kuchh hai tere aastane ki tarah

    o kaman-abru idhar bhi sarsari koi nigah

    tir ke mushtaq hum bhi hain nishane ki tarah

    dil ko aa jata hai yaad-e-sozan-e-mizgan se chain

    zaKHm mein achchhi hai ye Tanke lagane ki tarah

    kitne bedard is zamane ke atibba hain 'amir'

    haal bimaron ka sunte hain fasane ki tarah

    Source :
    • Book : Kalam-e-Ameer Minayee (Pg. 43)
    • Author : Ameer Minayee
    • Publication : Mashwara Book Dopt. Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now