Sufinama

donon jaanib agar aarzu wasl ki koi tufan uThae to main kya karun

Abdul Hadi Kavish

donon jaanib agar aarzu wasl ki koi tufan uThae to main kya karun

Abdul Hadi Kavish

MORE BYAbdul Hadi Kavish

    donoñ jānib agar aarzū vasl koī tūfāñ uThā.e to maiñ kyā karūñ

    ishq unheñ gudgudā.e to vo kyā kareñ husn mujh ko bulā.e to maiñ kyā karūñ

    jāntā huuñ ye ulfat ik āzār hai dil lagā.e vo jo jaañ se bezār hai

    merī nazroñ meñ dil meñ samā kar koī apnī nagrī basā.e to maiñ kyā karūñ

    chāhtā thā maiñ ka.aba meñ kar rahūñ rāt-o-din bāb-e-rahmat pe sajde karūñ

    jism meñ ruuh meñ har rag-o-pai meñ vo ḳhud aa kar samā.e to maiñ kyā karūñ

    vā.izā baat ne pate kahī laḌkhaḌāyā vahī duḳht-e-raz jis ne

    mast nazreñ uThā kar sar-e-bazm vo jām-e-ulfat pilā.e to maiñ kyā karūñ

    dīn-o-īmāñ kyā aur kyā hai dharm khol diyā ab to nām-e-ḳhudā ne bharam

    chashm-e-murshid ne aisī jādūgarī kuchh bhī mujh ko na bhaa.e to maiñ kyā karūñ

    sar jhukā duuñ yahāñ ne sach kahā ye haiñ ulfat ke ādāv-o-rasm-e-vafā

    dekh kar rū-e-jānāñ magar nāsehā hosh mujh ko na aa.e to maiñ kyā karūñ

    mil gayā raah meñ mujh ko jab vo sanam laakh dil ko sambhālā kiyā zabt-e-ġham

    dil meñ hasrat liye chand aañsū magar daf.atan muskurā.e to maiñ kyā karūñ

    aap haiñ ibtidā aap haiñ intihā ai vasī-e-nabī ai alī-murtazā

    kufr hai jāntā huuñ ye kahnā magar jab yaqīñ dil ko aa.e to maiñ kyā karūñ

    kis ko sajde karūñ kis puujā karūñ apne naam kyuuñ na maalā japūñ

    manzil-e-ishq par aa ke jab aadmī aks apnā paa.e to maiñ kyā karūñ

    ilm aur fazl ke dīn-o-īmān ke aql par merī 'kāvish' the parde paḌe

    saare parde uThā kar koī ab mujhe apnā jalva dikhā.e to maiñ kyā karūñ

    donon jaanib agar aarzu wasl ki koi tufan uThae to main kya karun

    ishq unhen gudgudae to wo kya karen husn mujh ko bulae to main kya karun

    jaanta hun ye ulfat ek aazar hai dil lagae wo jo jaan se bezar hai

    meri nazron mein dil mein sama kar koi apnī nagri basae to main kya karun

    chahta tha main kaba mein ja kar rahun raat-o-din bab-e-rahmat pe sajde karun

    jism mein ruh mein har rag-o-pai mein wo KHud hi aa kar samae to main kya karun

    waiza baat tu ne pate ki kahi laDkhaDaya wahi duKHt-e-raz jis ne pi

    mast nazren uTha kar sar-e-bazm wo jam-e-ulfat pilae to main kya karun

    din-o-iman kya aur kya hai dharm khol diya ab to nam-e-KHuda ne bharam

    chashm-e-murshid ne ki aisi jadugari kuchh bhi mujh ko na bhae to main kya karun

    sar jhuka dun yahan tu ne sach hi kaha ye hain ulfat ke aadaw-o-rasm-e-wafa

    dekh kar ru-e-jaanan magar naseha hosh mujh ko na aae to main kya karun

    mil gaya rah mein mujh ko jab wo sanam lakh dil ko sambhaala kiya zabt-e-gham

    dil mein hasrat liye chand aansu magar dafatan muskurae to main kya karun

    aap hain ibtida aap hain intiha ai wasi-e-nabi ai ali-murtaza

    kufr hai jaanta hun ye kahna magar jab yaqin dil ko aae to main kya karun

    kis ko sajde karun kis ki puja karun apne hi nam ki kyun na mala japun

    manzil-e-ishq par aa ke jab aadmi aks apna hi pae to main kya karun

    ilm aur fazl ke din-o-iman ke aql par meri 'kawish' the parde paDe

    sare parde uTha kar koi ab mujhe apna jalwa dikhae to main kya karun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now