Sufinama

aankh uTThi mohabbat ne angDai li dil ka sauda hua chandni raat mein

Fana Bulandshahri

aankh uTThi mohabbat ne angDai li dil ka sauda hua chandni raat mein

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    aañkh uTThī mohabbat ne añgḌā.ī dil saudā huā chāñdnī raat meñ

    un nazroñ ne kuchh aisā jaadū kiyā luT ga.e ham to pahlī mulāqāt meñ

    saath apnā vafā meñ na chhūTe kabhī pyaar Dor bañdh kar na TuuTe kabhī

    chhūT jaa.e zamāna koī ġham nahīñ haath terā rahe bas mere haath meñ

    rut hai barsāt dekho zid mat karo raat añdherī hai bādal haiñ chhā.e hue

    ruk bhī jaao sanam tum ko merī qasam ab kahāñ jāoge aisī barsāt meñ

    hai tirī yaad is dil meñ lipTī huī har ghaḌī hai tasavvur tere husn

    terī ulfat pahra lagā hai sanam kaun aa.egā mere ḳhayālāt meñ

    jis tarah chāhe vo aazmā le hameñ muntazir haiñ bas un ke ishāre ke ham

    muskurā kar 'fanā' vo talab to kareñ jaan bhī apnī de deñge ham to sauġhāt meñ

    aankh uTThi mohabbat ne angDai li dil ka sauda hua chandni raat mein

    un ki nazron ne kuchh aisa jadu kiya luT gae hum to pahli mulaqat mein

    sath apna wafa mein na chhuTe kabhi pyar ki Dor bandh kar na TuTe kabhi

    chhuT jae zamana koi gham nahin hath tera rahe bas mere hath mein

    rut hai barsat ki dekho zid mat karo raat andheri hai baadal hain chhae hue

    ruk bhi jao sanam tum ko meri qasam ab kahan jaoge aisi barsat mein

    hai teri yaad is dil mein lipTi hui har ghaDi hai tasawwur tere husn ka

    teri ulfat ka pahra laga hai sanam kaun aaega mere KHayalat mein

    jis tarah chahe wo aazma le hamein muntazir hain bas un ke ishaare ke hum

    muskura kar 'fana' wo talab to karen jaan bhi apni de denge hum to saughat mein

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now