Sufinama

KHud ka parda hai to KHud KHud ko zara dekh to le

Ghausi Shah

KHud ka parda hai to KHud KHud ko zara dekh to le

Ghausi Shah

MORE BYGhausi Shah

    ḳhud parda hai to ḳhud ḳhud ko zarā dekh to le

    ḳhud ke parde meñ tire ḳhud hai ḳhudā dekh to le

    ḳhud se jo duur rahe haq se bhī vo duur rahe

    hai vo ḳhud gum-shuda is baat ko dekh to le

    kuchh nahīñ hai bhī to sab kuchh hai baat to sun

    aap se aap ḳhud hai judā dekh to le

    hai ḳhudā ḳhud meñ tire aur ḳhudā meñ gum hai

    ai vo mad.hosh zarā hosh meñ aa dekh to le

    aap apne ko jo jaanā vo ḳhudā ko jaanā

    shah-e-laulāk irshād hai kyā dekh to le

    nahnū aqrab agar bhed samajhnā ho tujhe

    apnī shah-e-rag taraf dhyān lagā dekh to le

    kar riyāzat na aur bhūkoñ na mar ḳhud ko samajh

    rāz-e-fī-anfosekum piir se dekh to le

    gar ḳhudā se tujhe milnā hai to ḳhud se mil le

    aap apne ko zarā aañkh uThā dekh to le

    naqd-e-vaqt aaj hai dīdār ḳhudā 'ġhausī'

    apnī sūrat ko ā.īna banā dekh to le

    KHud ka parda hai to KHud KHud ko zara dekh to le

    KHud ke parde mein tere KHud hai KHuda dekh to le

    KHud se jo dur rahe haq se bhi wo dur rahe

    hai wo KHud gum-shuda is baat ko pa dekh to le

    kuchh nahin hai bhi to sab kuchh hai tu hi baat to sun

    aap se aap hi tu KHud hai juda dekh to le

    hai KHuda KHud mein tere aur tu KHuda mein gum hai

    ai wo madhosh zara hosh mein aa dekh to le

    aap apne ko jo jaana wo KHuda ko jaana

    shah-e-laulak ka irshad hai kya dekh to le

    nahnu aqrab ka agar bhed samajhna ho tujhe

    apni shah-e-rag ki taraf dhyan laga dekh to le

    kar riyazat na tu aur bhukon na mar KHud ko samajh

    raaz-e-fi-anfosekum pir se pa dekh to le

    gar KHuda se tujhe milna hai to KHud se mil le

    aap apne ko zara aankh uTha dekh to le

    naqd-e-waqt aaj hai didar KHuda ka 'ghausi'

    apni surat ko tu aaina bana dekh to le

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Muhammad Aziz Khan

    Muhammad Aziz Khan

    Kamaal Qawwal

    Kamaal Qawwal

    Source :
    • Book : Taiyabat-e-Ghosui (Pg. 79)
    • Author : Ghousi Shah
    • Publication : Aazam Steam Press, Hyderabad (1952)
    • Edition : Second
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now