Sufinama

chupke chupke raat-din aansu bahana yaad hai

Hasrat Mohani

chupke chupke raat-din aansu bahana yaad hai

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    chupke chupke rāt-din aañsū bahānā yaad hai

    ham ko ab tak āshiqī vo zamāna yaad hai

    bā-hazārāñ iztirāb-o-sad-hazārāñ ishtiyāq

    tujh se vo pahle-pahal dil lagānā yaad hai

    baar baar uThnā usī jānib nigāh-e-shauq

    aur tirā ġhurfe se vo āñkheñ laḌānā yaad hai

    tujh se kuchh milte vo bebāk ho jaanā mirā

    aur tirā dāñtoñ meñ vo añgulī dabānā yaad hai

    khīñch lenā vo tirā parde konā daf.atan

    aur dupaTTe se tirā vo muñh chhupānā yaad hai

    jaan kar sotā tujhe vo qasd-e-pā-bosī mirā

    aur tirā Thukrā ke sar vo muskurānā yaad hai

    tujh ko jab tanhā kabhī paatā to az rāh-e-lihāz

    hāl-e-dil bātoñ bātoñ meñ jatānā yaad hai

    jab sivā mere tumhārā koī dīvāna na thā

    sach kaho kuchh tum ko bhī vo kārḳhāna yaad hai

    ġhair nazroñ se bach kar sab marzī ke ḳhilāf

    vo tirā chorī-chhupe rātoñ ko aanā yaad hai

    aa gayā gar vasl shab bhī kahīñ zikr-e-firāq

    vo tirā ro ro ke mujh ko bhī rulānā yaad hai

    dopahar dhuup meñ mere bulāne ke liye

    vo tirā koThe pe nañge paañv aanā yaad hai

    aaj tak nazroñ meñ hai vo sohbat-e-rāz-o-niyāz

    apnā jaanā yaad hai terā bulānā yaad hai

    mīThī mīThī chheḌ kar bāteñ nirālī pyaar

    zikr dushman vo bātoñ meñ uḌānā yaad hai

    dekhnā mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se

    jab manā lenā to phir ḳhud ruuTh jaanā yaad hai

    chorī chorī ham se tum aa kar mile the jis jagah

    muddateñ guzrīñ par ab tak vo Thikānā yaad hai

    shauq meñ mehñdī ke vo be-dast-o-pā honā tirā

    aur mirā vo chheḌnā vo gudgudānā yaad hai

    bāvajūd-e-iddi.ā-e-ittiqā 'hasrat' mujhe

    aaj tak ahd-e-havas vo fasānā yaad hai

    chupke chupke raat-din aansu bahana yaad hai

    hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai

    ba-hazaran iztirab-o-sad-hazaran ishtiyaq

    tujh se wo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai

    bar bar uThna usi jaanib nigah-e-shauq ka

    aur tera ghurfe se wo aankhen laDana yaad hai

    tujh se kuchh milte hi wo bebak ho jaana mera

    aur tera danton mein wo anguli dabana yaad hai

    khinch lena wo tera parde ka kona dafatan

    aur dupaTTe se tera wo munh chhupana yaad hai

    jaan kar sota tujhe wo qasd-e-pa-bosi mera

    aur tera Thukra ke sar wo muskurana yaad hai

    tujh ko jab tanha kabhi pata to az rah-e-lihaz

    haal-e-dil baaton hi baaton mein jatana yaad hai

    jab siwa mere tumhaara koi diwana na tha

    sach kaho kuchh tum ko bhi wo karKHana yaad hai

    ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke KHilaf

    wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai

    aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq

    wo tera ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai

    dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye

    wo tera koThe pe nange panw aana yaad hai

    aaj tak nazron mein hai wo sohbat-e-raaz-o-niyaz

    apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai

    miThi miThi chheD kar baaten nirali pyar ki

    zikr dushman ka wo baaton mein uDana yaad hai

    dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naz se

    jab mana lena to phir KHud ruTh jaana yaad hai

    chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah

    muddaten guzrin par ab tak wo Thikana yaad hai

    shauq mein mehndi ke wo be-dast-o-pa hona tera

    aur mera wo chheDna wo gudgudana yaad hai

    bawajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe

    aaj tak ahd-e-hawas ka wo fasana yaad hai

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 194)
    • Author : Hasrat Mohani
    • Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now