Sufinama

hirs daulat ki na izz-o-jah ki

Aasi Ghazipuri

hirs daulat ki na izz-o-jah ki

Aasi Ghazipuri

MORE BYAasi Ghazipuri

    hirs daulat na izz-o-jāh

    bas tamannā hai dil-e-āgāh

    dard-e-dil kitnā pasand aayā use

    maiñ ne jab aah us ne vaah

    khiñch ga.e kan.āñ se yūsuf misr ko

    pūchhiye hazrat se quvvat chaah

    bas sulūk us hai manzil us hai

    us ke dil tak jis ne apnī raah

    vā.izo kaisā butoñ ghūrnā

    kuchh ḳhabar hai samma vajhul-lāh

    yaad aa.ī taaq baitullāh meñ

    bait-e-abrū us but-e-dil-ḳhvāh

    rāh-e-haq hai agar 'āsī' talāsh

    ḳhāk-e-rah ho mard-e-haq-āgāh

    hirs daulat ki na izz-o-jah ki

    bas tamanna hai dil-e-agah ki

    dard-e-dil kitna pasand aaya use

    main ne jab ki aah us ne wah ki

    khiñch gae kanāñ se yusuf misr ko

    pūchhiye hazrat se quwwat chah ki

    bas sulūk us ka hai manzil us ki hai

    us ke dil tak jis ne apnī rah ki

    wāizo kaisa butoñ ka ghūrnā

    kuchh KHabar hai samma wajhul-lāh ki

    yaad aai taq baitullah mein

    bait-e-abru us but-e-dil-KHwah ki

    rah-e-haq ki hai agar 'asi' talash

    KHak-e-rah ho mard-e-haq-agah ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now