Sufinama

har ja munawwar nur-e-qadam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

Imdad Ali Ulvi

har ja munawwar nur-e-qadam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

Imdad Ali Ulvi

MORE BYImdad Ali Ulvi

    har munavvar nūr-e-qadam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    maujūd hai vo baaqī adam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    qur.ān meñ uqda jab is khulā nūrus-samāvāti-val-arz bolā

    mishkāt-o-misbāh-o-kaukab alam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    gar hai anal-haq hai hual-haq haq hai jalva bar-haq hai bar-haq

    bātil nahīñ hai haq qasam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    ye ain aur ġhair ka.aba-o-dair hai diid naqs aur fahm pher

    dekho to yaksāñ dair-o-haram hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    a.alam meñ aadam aadam meñ a.alam āñ-dam meñ īñ-dam īñ-dam meñ āñ-dam

    haq tamāsha yaañ dam ba-dam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    kashtī meñ dariyā dariyā meñ kashtī siflī meñ 'ulvī' 'ulvī' meñ siflī

    tūfāñ meñ maujeñ maujoñ meñ yam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    har ja munawwar nur-e-qadam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    maujud hai wo baqi adam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    quran mein uqda jab is ka khula nurus-samawati-wal-arz bola

    mishkat-o-misbah-o-kaukab alam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    gar hai anal-haq ya hai hual-haq haq ka hai jalwa bar-haq hai bar-haq

    baatil nahin hai haq ki qasam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    ye ain aur ghair ya kaba-o-dair hai did ka naqs aur fahm ka pher

    dekho to yaksan dair-o-haram hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    aalam mein aadam aadam mein aalam aan-dam mein in-dam in-dam mein aan-dam

    haq ka tamasha yan dam ba-dam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    kashti mein dariya dariya mein kashti sifli mein 'ulwi' 'ulwi' mein sifli

    tufan mein maujen maujon mein yam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe

    Source :
    • Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 331)
    • Edition : Second
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now