Sufinama

ai yar na mujhse munh ko chhupa tu aur nahin main aur nahin

Imdad Ali Ulvi

ai yar na mujhse munh ko chhupa tu aur nahin main aur nahin

Imdad Ali Ulvi

MORE BYImdad Ali Ulvi

    ai yaar na mujh se muñh ko chhupā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

    hai shakl terī merā naqsha aur nahīñ maiñ aur nahīñ

    itlāq-o-taqayyud ke baa.is maiñ tujh se judā mujh se judā

    jab fahm se ye parda uThā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

    maiñ tujh ko ġhair samajhtā thā aur ḳhud ko aur samajhtā thā

    par chashm-e-ġhaur se jab dekhā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

    sahrā meñ bagūla jo uTThā hai bād-o-kHāk meñ ye ġhauġhā

    maiñ tujhmeñ fanā mujh meñ baqā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

    avval hai āḳhir hai zāhir hai bātin hai

    maiñ tujh meñ huuñ mujh meñ chhupā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

    me'rāj-e-nabīñ meñ thī har-dam udnu minnī sadā paiham

    aa sū-e-maqām-e-au-adnā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

    maiñ tālib-e-vasl jo yaar se thā bolā vo ki ḳhud ko dekh zarā

    maiñ to huuñ az sar tā-pā aur nahīñ maiñ aur nahīñ

    'ulvī' ko ze bas thā kHauf-e-ġhinā kahā yaar ne bā-hama lutf-o-atā

    kyuuñ Dartā hai aa āġhosh meñ aa aur nahīñ maiñ aur nahīñ

    ai yar na mujh se munh ko chhupa tu aur nahin main aur nahin

    hai shakl teri mera naqsha tu aur nahin main aur nahin

    itlaq-o-taqayyud ke bais main tujh se juda tu mujh se juda

    jab fahm se ye parda uTha tu aur nahin main aur nahin

    main tujh ko ghair samajhta tha aur KHud ko aur samajhta tha

    par chashm-e-ghaur se jab dekha tu aur nahin main aur nahin

    sahra mein bagula jo uTTha hai baad-o-kHak mein ye ghaugha

    main tujhmen fana tu mujh mein baqa tu aur nahin main aur nahin

    awwal tu hai aaKHir tu hai zahir tu hai baatin tu hai

    main tujh mein hun tu mujh mein chhupa tu aur nahin main aur nahin

    me'raj-e-nabin mein thi har-dam udnu minni ki sada paiham

    aa su-e-maqam-e-au-adna tu aur nahin main aur nahin

    main talib-e-wasl jo yar se tha bola wo ki KHud ko dekh zara

    tu main hi to hun az sar ta-pa tu aur nahin main aur nahin

    'ulwi' ko ze bas tha kHauf-e-ghina kaha yar ne ba-hama lutf-o-ata

    kyun Darta hai aa aaghosh mein aa tu aur nahin main aur nahin

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    Source :
    • Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 335)
    • Edition : Second
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now