Sufinama

jatā hai mere ghar se dil-dār ḳhudā-hāfiz

Meer Muhammad Bedar

jatā hai mere ghar se dil-dār ḳhudā-hāfiz

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    jaatā hai mire ghar se dil-dār ḳhudā-hāfiz

    hai zindagī ab mushkil be-yār ḳhudā-hāfiz

    vo mast-e-sharāb-e-husn ġhusse se nihāyat

    khīñche ho.e aatā hai talvār ḳhudā-hāfiz

    mujh paas tabīb aa ke kahne lagā ai yaar

    be-tarah hai is ko āzār ḳhudā-hāfiz

    hāsil nahīñ darmāñ vo hai ye maraz jis se

    jāñ-bar na huā koī bīmār ḳhudā-hāfiz

    be-tarah kuchh īdhar ko vo mast-e-sharāb-e-husn

    khīñche hue aatā hai talvār ḳhudā-hāfiz

    ai shaiḳh us but ke kūche meñ to jaatā hai

    ho jaa.e na ye sub.ha zunnār ḳhudā-hāfiz

    Dartā huuñ ki dil har dam maltā hai na ho jaave

    us chashm-e-sitam-gar bīmār ḳhudā-hāfiz

    yuuñ mehr se farmāyā us maah ne vaqt-e-sub.h

    ham jaane haiñ ab terā 'bedār' ḳhudā-hāfiz

    jatā hai mere ghar se dil-dār ḳhudā-hāfiz

    hai zindagī ab mushkil be-yār ḳhudā-hāfiz

    wo mast-e-sharāb-e-husn ġhusse se nihāyat

    khīñche hoe aatā hai talwār ḳhudā-hāfiz

    mujh pas tabīb aa ke kahne lagā ai yar

    be-tarah hai is ko āzār ḳhudā-hāfiz

    hāsil nahīñ darmāñ wo hai ye maraz jis se

    jāñ-bar na huā koī bīmār ḳhudā-hāfiz

    be-tarah kuchh īdhar ko wo mast-e-sharāb-e-husn

    khīñche hue aatā hai talwār ḳhudā-hāfiz

    ai shaiḳh us but ke kūche meñ to jatā hai

    ho jae na ye subha zunnār ḳhudā-hāfiz

    Dartā huñ ki dil har dam maltā hai na ho jawe

    us chashm-e-sitam-gar bīmār ḳhudā-hāfiz

    yuñ mehr se farmāyā us mah ne waqt-e-subh

    hum jaane haiñ ab terā 'bedār' ḳhudā-hāfiz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now