Sufinama

jalwa jo tere ruḳh kā ehsās meñ Dhal jae

Fana Bulandshahri

jalwa jo tere ruḳh kā ehsās meñ Dhal jae

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    jalva jo tire ruḳh ehsās meñ Dhal jaa.e

    is ālam-e-hastī aalam badal jaa.e

    un mast nigāhoñ ik daur jo chal jaa.e

    ham dard ke māroñ taqdīr badal jaa.e

    masrūf-e-ibādat yuuñ ḳhatm ho afsāna

    sar ho tirī chaukhaT pe dam merā nikal jaa.e

    laakh bachā dāman dar se na uThūñgā maiñ

    un meñ se nahīñ huuñ maiñ Taale se jo Tal jaa.e

    ai jān-e-karam mujh par ek chashm-e-karam kar de

    aisā na ho dīvāna qadmoñ pe machal jaa.e

    hasrat bharī āñkhoñ meñ ik pal ke liye aa

    dekhe jo terī sūrat dīvāna bahal jaa.e

    aag mohabbat bhar de mirī nas nas meñ

    har zarra mire dil is aag meñ jal jaa.e

    bijlī tire jalvoñ gir jaa.e kabhī mujh par

    ai jaan mirī hastī is aag meñ jal jaa.e

    ai chāragaro dekho bīmār-e-mohabbat huuñ

    tadbīr karo aisī dil jis se bahal jaa.e

    jazb-e-mohabbat meñ kar le vo asar paidā

    jis samt nazar uTThe ik tiir chal jaa.e

    pāmāl-e-rah-e-ulfat ho jā.ūñ mohabbat meñ

    vo shoḳh agar mujh ko qadmoñ se masal jaa.e

    taqdīr kare ehsāñ yuuñ ba.ad-e-'fanā' mujh par

    ḳhāk-e-dar-e-jānāna muñh par mire mal jaa.e

    jalwa jo tere ruḳh ehsās meñ Dhal jae

    is ālam-e-hastī aalam badal jae

    un mast nigāhoñ ek daur jo chal jae

    hum dard ke māroñ taqdīr badal jae

    masrūf-e-ibādat yuñ ḳhatm ho afsāna

    sar ho tirī chaukhaT pe dam merā nikal jae

    lakh bachā dāman dar se na uThūñgā maiñ

    un meñ se nahīñ huñ maiñ Tale se jo Tal jae

    ai jān-e-karam mujh par ek chashm-e-karam kar de

    aisā na ho dīwāna qadmoñ pe machal jae

    hasrat bharī āñkhoñ meñ ek pal ke liye aa

    dekhe jo terī sūrat dīwāna bahal jae

    aag mohabbat bhar de mirī nas nas meñ

    har zarra mere dil is aag meñ jal jae

    bijlī tere jalwoñ gir jae kabhī mujh par

    ai jaan mirī hastī is aag meñ jal jae

    ai chāragaro dekho bīmār-e-mohabbat huñ

    tadbīr karo aisī dil jis se bahal jae

    jazb-e-mohabbat meñ kar le wo asar paidā

    jis samt nazar uTThe ek tir chal jae

    pāmāl-e-rah-e-ulfat ho jāūñ mohabbat meñ

    wo shoḳh agar mujh ko qadmoñ se masal jae

    taqdīr kare ehsāñ yuñ baad-e-'fanā' mujh par

    ḳhāk-e-dar-e-jānāna muñh par mere mal jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now