Sufinama

jalwa mujhe dikhla kar diwana bana Dala

Abdul Hadi Kavish

jalwa mujhe dikhla kar diwana bana Dala

Abdul Hadi Kavish

MORE BYAbdul Hadi Kavish

    jalva mujhe dikhlā kar dīvāna banā Daalā

    hastī ko merī ne afsāna banā Daalā

    ab dhaḌkaneñ ban kar is dil meñ dhaḌaktā hai

    rag rag ko merī apnā kāshāna banā Daalā

    nazroñ se pilā.ī vo tauhīd mai ne

    vahdat mujhe ne mai-ḳhāna banā Daalā

    utre na nasha jis tā-roz-e-abad saaqī

    mastī mujhe aisā mastāna banā Daalā

    ab rāz-e-anal-haq ke pardoñ ko uThā 'kāvish'

    sar-tā-ba-qadam mujh ko jānāna banā Daalā

    jalwa mujhe dikhla kar diwana bana Dala

    hasti ko meri tu ne afsana bana Dala

    ab dhaDkanen ban kar tu is dil mein dhaDakta hai

    rag rag ko meri apna kashana bana Dala

    nazron se pilai wo tauhid ki mai tu ne

    wahdat ka mujhe tu ne mai-KHana bana Dala

    utre na nasha jis ka ta-roz-e-abad saqi

    masti ka mujhe aisa mastana bana Dala

    ab raaz-e-anal-haq ke pardon ko uTha 'kawish'

    sar-ta-ba-qadam mujh ko jaanana bana Dala

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now