Sufinama

kahte hain kis ko dard-e-mohabbat kaun tumhein batlaega

Purnam Allahabadi

kahte hain kis ko dard-e-mohabbat kaun tumhein batlaega

Purnam Allahabadi

MORE BYPurnam Allahabadi

    kahte haiñ kis ko dard-e-mohabbat kaun tumheñ batlā.egā

    pyaar kisī se kar ke dekho ḳhud pata chal jā.egā

    qāsid ummīd hai yaaro qāsid to aa jā.egā

    lekin ham us vaqt na hoñge jab un ḳhat aa.egā

    soch le ai taḌpāne vaale rusvā ho jā.egā

    merā zikr jahāñ bhī hogā terā naam bhī aa.egā

    thaam ke dil rah jā.eñge vo dekh ke merī mayyat ko

    merā janāza jab ki nikal kar un galī se jā.egā

    Thokar khāne vaale raahī is meñ ḳhatā rahbar nahīñ

    jo na chalegā dekh ke rasta raah meñ Thokar khā.egā

    luTne afsos bajā hai lekin ai luTne vaalo

    kis ko ḳhabar thī qāfila aa kar manzil pe luT jā.egā

    shīsha-e-dil us but ne toḌā 'purnam' us pe hairat kyā

    TuuT jā.egā jo shīsha patthar se Takrā.egā

    kahte hain kis ko dard-e-mohabbat kaun tumhein batlaega

    pyar kisi se kar ke dekho KHud hi pata chal jaega

    qasid ki ummid hai yaro qasid to aa jaega

    lekin hum us waqt na honge jab un ka KHat aaega

    soch le ai taDpane wale tu ruswa ho jaega

    mera zikr jahan bhi hoga tera nam bhi aaega

    tham ke dil rah jaenge wo dekh ke meri mayyat ko

    mera janaza jab ki nikal kar un ki gali se jaega

    Thokar khane wale rahi is mein KHata rahbar ki nahin

    jo na chalega dekh ke rasta rah mein Thokar khaega

    luTne ka afsos baja hai lekin ai luTne walo

    kis ko KHabar thi qafila aa kar manzil pe luT jaega

    shisha-e-dil us but ne toDa 'purnam' us pe hairat kya

    TuT hi jaega jo shisha patthar se Takraega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now