Sufinama

mohabbat nahin to jiya jae na

Kamil Shattari

mohabbat nahin to jiya jae na

Kamil Shattari

MORE BYKamil Shattari

    mohabbat nahīñ to jiyā jaa.e

    ye dukh zindagī uThā jaa.e

    sambhal kar zabāñ kholnī chāhiye

    koī dil bātoñ ko jaa.e

    bharī bazm se uTh ke jaanā tirā

    kahīñ dil kisī biThā jaa.e

    mirā ek sajda to ho chain

    ḳhudā jo Thahrā ḳhud aa jaa.e

    mohabbat ke aañsū haiñ jā.iye

    kahīñ koī tūfān aa jaa.e

    agar jaan tak jaa.e jaane bhī do

    magar apne ghar se piyā jaa.e

    karūñ kyā mire bas meñ kuchh bhī nahīñ

    dar-e-yār se to uThā jaa.e

    maiñ ḳhuddār fitrat se majbūr huuñ

    kisī sahārā liyā jaa.e

    vafāoñ pe apnī jise naaz hai

    zarā sāmne mere aa jaaye

    maiñ harf-e-ġhalat huuñ to yuuñ bhī sahī

    bhalā koī 'kāmil' miTā jaa.e

    mohabbat nahin to jiya jae na

    ye dukh zindagi ka uTha jae na

    sambhal kar zaban kholni chahiye

    koi dil ki baaton ko pa jae na

    bhari bazm se uTh ke jaana tera

    kahin dil kisi ka biTha jae na

    mera ek sajda to ho chain ka

    KHuda hi jo Thahra KHud aa jae na

    mohabbat ke aansu hain pi jaiye

    kahin koi tufan aa jae na

    agar jaan tak jae jaane bhi do

    magar apne ghar se piya jae na

    karun kya mere bas mein kuchh bhi nahin

    dar-e-yar se to uTha jae na

    main KHuddar fitrat se majbur hun

    kisi ka sahaara liya jae na

    wafaon pe apnī jise naz hai

    zara samne mere aa jaye na

    main harf-e-ghalat hun to yun bhi sahi

    bhala koi 'kaamil' miTa jae na

    Source :
    • Book : Wardat-e-Kamil Diwan-e-Kamil (Pg. 40)
    • Author : Kamil Shattari
    • Publication : Kamil Academy (1962)
    • Edition : 4th
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now