Sufinama

āñkhoñ meñ namī aaī chehre pe malāl aayā

Fana Bulandshahri

āñkhoñ meñ namī aaī chehre pe malāl aayā

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    āñkhoñ meñ namī aa.ī chehre pe malāl aayā

    ai jalva-e-mahbūbī jab terā ḳhayāl aayā

    thā un tavajjoh meñ har jazb-e-talab merā

    har chand mo.addab thī jab merā savāl aayā

    is baat pe badlī hai bas chashm-e-karam un

    ushshāq ke hoñToñ pe kyuuñ harf-e-savāl aayā

    un ke hasīn abrū aa.e haiñ tasavvur meñ

    mahfil-e-hastī meñ raḳhshanda hilāl aayā

    ham sajda jahāñ kar leñ ka.aba vahīñ ban jaa.e

    miT kar tirī ulfat meñ ham ko ye kamāl aayā

    ab hashr-ba-dāmāñ hai har mahfil-e-tanhā.ī

    tum aa.e to furqat azmat pe zavāl aayā

    phir rañg-e-junūñ barsā phūloñ qabāoñ par

    ye kaun gulistāñ meñ āshufta nihāl aayā

    paiġhām-e-'fanā' laayā taskīn-e-dil-e-muztar

    vo aa ga.e nazroñ meñ jab vaqt-e-visāl aayā

    āñkhoñ meñ namī aaī chehre pe malāl aayā

    ai jalwa-e-mahbūbī jab terā ḳhayāl aayā

    thā un tawajjoh meñ har jazb-e-talab merā

    har chand moaddab thī jab merā sawāl aayā

    is baat pe badlī hai bas chashm-e-karam un

    ushshāq ke hoñToñ pe kyuñ harf-e-sawāl aayā

    un ke hasīn abrū aae haiñ tasawwur meñ

    mahfil-e-hastī meñ raḳhshanda hilāl aayā

    hum sajda jahāñ kar leñ kaba wahīñ ban jae

    miT kar tirī ulfat meñ hum ko ye kamāl aayā

    ab hashr-ba-dāmāñ hai har mahfil-e-tanhāī

    tum aae to furqat azmat pe zawāl aayā

    phir rañg-e-junūñ barsā phūloñ qabāoñ par

    ye kaun gulistāñ meñ āshufta nihāl aayā

    paiġhām-e-'fanā' layā taskīn-e-dil-e-muztar

    wo aa gae nazroñ meñ jab waqt-e-wisāl aayā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now