Sufinama

gar dekhai to mazhar-e-asar-e-liqa hun

Khwaja Meer Dard

gar dekhai to mazhar-e-asar-e-liqa hun

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    gar dekhai to mazhar-e-āsār-e-liqā huuñ

    aur samajhiye juuñ aks mujhe mahv-e-fanā huuñ

    karatā huuñ pas az marg bhī hal mushkil-e-ālam

    be-his huuñ pe nāḳhun tarah uqda-kushā huuñ

    mamnūn mere faiz ke sab ahl-e-nazar haiñ

    juuñ nuur har ik chashm ko dīdār-numā huuñ

    hai mazhar-e-anvār-e-safā merī kudūrat

    har chand ki aahan huuñ par ā.īna banā huuñ

    ahvāl-e-do-a.alam hai mire dil pe huvaidā

    samjhā nahīñ tā-hāl par apne ta.iiñ kyā huuñ

    āvāz nahīñ qaid meñ zanjīr hargiz

    har chand ki a.alam meñ huuñ a.alam se judā huuñ

    huuñ qāfila-sālār tarīqa-e-qudmā 'dard'

    juuñ naqsh-e-qadam ḳhalq ko maiñ rāh-numā huuñ

    gar dekhai to mazhar-e-asar-e-liqa hun

    aur samajhiye jun aks mujhe mahw-e-fana hun

    karata hun pas az marg bhi hal mushkil-e-alam

    be-his hun pe naKHun ki tarah uqda-kusha hun

    mamnun mere faiz ke sab ahl-e-nazar hain

    jun nur har ek chashm ko didar-numa hun

    hai mazhar-e-anwar-e-safa meri kudurat

    har chand ki aahan hun par aaina bana hun

    ahwal-e-do-alam hai mere dil pe huwaida

    samjha nahin ta-haal par apne tain kya hun

    aawaz nahin qaid mein zanjir ki hargiz

    har chand ki aalam mein hun aalam se juda hun

    hun qafila-salar tariqa-e-qudma 'dard'

    jun naqsh-e-qadam KHalq ko main rah-numa hun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now