Sufinama

ghar to donon pas hain lekin mulaqaten kahan

Khwaja Meer Dard

ghar to donon pas hain lekin mulaqaten kahan

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    ghar to donoñ paas haiñ lekin mulāqāteñ kahāñ

    āmad-o-raft aadmī hai pe vo bāteñ kahāñ

    ham faqīroñ taraf bhī to nigāheñ dam-ba-dam

    pheñkte jaate the aap aage vo ḳhairāteñ kahāñ

    ba.ad marne ke mere hogī mere rone qadr

    tab kahā kījiyegā logoñ se vo barsāteñ kahāñ

    yuuñ to hai din raat mere dil meñ us ḳhayāl

    jin dinoñ apnī baġhal meñ thā so vo rāteñ kahāñ

    jis tarah se kheltā hai vo diloñ yaañ shikār

    'dard' aatī haiñ kisī dilbar ko vo ghāteñ kahāñ

    ghar to donon pas hain lekin mulaqaten kahan

    aamad-o-raft aadmi ki hai pe wo baaten kahan

    hum faqiron ki taraf bhi to nigahen dam-ba-dam

    phenkte jate the aap aage wo KHairaaten kahan

    baad marne ke mere hogi mere rone ki qadr

    tab kaha kijiyega logon se wo barsaten kahan

    yun to hai din raat mere dil mein us ka hi KHayal

    jin dinon apni baghal mein tha so wo raaten kahan

    jis tarah se khelta hai wo dilon ka yan shikar

    'dard' aati hain kisi dilbar ko wo ghaten kahan

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now