Sufinama

ghair jo be-faida hathon pe gul khaya kiye

Khwaja Meer Dard

ghair jo be-faida hathon pe gul khaya kiye

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    ġhair jo be-fā.ida hāthoñ pe gul khāyā kiye

    ham bhī nāhaq daaġh apne dil ke the dikhlāyā kiye

    dil dil jaane mujhe shikvā to milne nahīñ

    gāh-gāhe paas mere aap to aayā kiye

    din tumhār to kaTe baare ḳhushī se har tarah

    ham balā se yaañ paḌe rātoñ ko ghabrāyā kiye

    dil burā hotā hai koī tujh se par yuuñ abas

    ham sadā ġhairoñ se milnā sun ke ghabrāyā kiye

    chain to ham ko na aayā ek saa.at us ba-ġhair

    rāt-din har chand apne dil ko bahlāyā kiye

    dekhne paatā nahīñ hai koī jis chhāoñ haañ

    le chalī hai aaj ham ko vo parī saayā kiye

    apne darvāza talak bhī vo na aayā ek baar

    har ghaḌī uTh-uTh ke ham jis ke liye jaayā kiye

    to vo rāteñ thiiñ ye kuchh dinoñ pher hai

    haath ab lagte nahīñ tab paañv dabvāyā kiye

    tab hamāre us ke ab tak yuuñ nibhī thī 'dard' yaañ

    baat aisī vaisī ham ḳhātir meñ kam laayā kiye

    ghair jo be-faida hathon pe gul khaya kiye

    hum bhi nahaq dagh apne dil ke the dikhlaya kiye

    dil ki dil jaane mujhe shikwa to milne ka nahin

    gah-gahe pas mere aap to aaya kiye

    din tumhaar to kaTe bare KHushi se har tarah

    hum bala se yan paDe raaton ko ghabraya kiye

    dil bura hota hai koi tujh se par yun abas

    hum sada ghairon se milna sun ke ghabraya kiye

    chain to hum ko na aaya ek saat us ba-ghair

    raat-din har chand apne dil ko bahlaya kiye

    dekhne pata nahin hai koi jis ki chhaon han

    le chali hai aaj hum ko wo pari saya kiye

    apne darwaza talak bhi wo na aaya ek bar

    har ghaDi uTh-uTh ke hum jis ke liye jaya kiye

    ya to wo raaten thin ya ye kuchh dinon ka pher hai

    hath ab lagte nahin tab panw dabwaya kiye

    tab hamare us ke ab tak yun nibhi thi 'dard' yan

    baat aisi waisi hum KHatir mein kam laya kiye

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now