Sufinama

malum nahin aankhen ye kyun phuT bahi hain

Khwaja Meer Dard

malum nahin aankhen ye kyun phuT bahi hain

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    ma.alūm nahīñ āñkheñ ye kyuuñ phuuT bahī haiñ

    rone taraf kis liye ye TuuT bahī haiñ

    kashtī tarah āñkheñ mirī ashk meñ yaaro

    jis tār-e-nigah se bañdhī thiiñ chhūT bahī haiñ

    maiñ misl-e-habāb āñkheñ to ro-ro ke bahā.ūñ

    parda yahī kahtā hai sadā jhuuT bahī haiñ

    ai 'dard' samajh sahj na in āñkhoñ bahnā

    chhātī tarah dil ko mere kuuT bahī haiñ

    malum nahin aankhen ye kyun phuT bahi hain

    rone ki taraf kis liye ye TuT bahi hain

    kashti ki tarah aankhen meri ashk mein yaro

    jis tar-e-nigah se bandhi thin chhuT bahi hain

    main misl-e-habab aankhen to ro-ro ke bahaun

    parda yahi kahta hai sada jhuT bahi hain

    ai 'dard' samajh sahj na in aankhon ka bahna

    chhati ki tarah dil ko mere kuT bahi hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now