Sufinama

tu samajhta hai koi nala-e-shabgir ka dard

Khwaja Ruknuddin Ishq

tu samajhta hai koi nala-e-shabgir ka dard

Khwaja Ruknuddin Ishq

MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq

    samajhtā hai koī nāla-e-shabgīr dard

    jis ke dil meñ chubhe jaane vahī us tiir dard

    zulf jaane balā dil pe jo guzrī guzrī

    jis ke paañv meñ paḌe jaane vo zanjīr dard

    tālib-e-'iash-o-kHushī yaar jahāñ ke sab haiñ

    kaun suntā hai kahūñ jo dil-e-dil-gīr dard

    multajī hoñ jo falātūñ se yahī bātil hai

    'ishq' jaatā nahīñ tadbīr se taqdīr dard

    tu samajhta hai koi nala-e-shabgir ka dard

    jis ke dil mein chubhe jaane wahi us tir ka dard

    zulf ki jaane bala dil pe jo guzri guzri

    jis ke panw mein paDe jaane wo zanjir ka dard

    talib-e-'iash-o-kHushi yar jahan ke sab hain

    kaun sunta hai kahun jo dil-e-dil-gir ka dard

    multaji hon jo falatun se yahi baatil hai

    'ishq' jata nahin tadbir se taqdir ka dard

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now