Sufinama

KHudawanda ye tere sada-dil bande kidhar jaen

Maikash Akbarabadi

KHudawanda ye tere sada-dil bande kidhar jaen

Maikash Akbarabadi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    ḳhudāvandā ye tere sāda-dil bande kidhar jaa.eñ

    ki be-dīnī bhī ik fashion hai maz.hab bhī riyā-kārī

    bane baiThe haiñ sab ma.abūd apne apne halqoñ meñ

    numā.ish hai taqvā aur tasanno.a hai mai-ḳhvārī

    haiñ kaifiyāt bhī mister dāḳhil ādāb-e-majlis meñ

    misāl-e-girya-e-vā.iz ye hañsnā bhī hai makkārī

    zarūrī jaan kar rotā hai beTā marg-e-mādar par

    magar samjhā hai us ko bhī moharram azā-dārī

    milī jam.īyat-e-ḳhātir bhī suufī ko to mahfil meñ

    gavayyā apnī ḳhalvat meñ jo gaayā bhī to darbārī

    miTe jaate haiñ bāham āshiq-o-ma.ashūq ulfat meñ

    magar stage par jis tarh karte haiñ adā-kārī

    liye phirtā hai shauq-e-ḳhud-numā.ī sar pa shā.ir ko

    abhī chalnā nahīñ sīkhā hai ye farzand-be-kārī

    KHudawanda ye tere sada-dil bande kidhar jaen

    ki be-dini bhi ek fashion hai mazhab bhi riya-kari

    bane baiThe hain sab mabud apne apne halqon mein

    numaish ka hai taqwa aur tasannoa ki hai mai-KHwari

    hain kaifiyat bhi mister ki daKHil aadab-e-majlis mein

    misal-e-girya-e-waiz ye hansna bhi hai makkari

    zaruri jaan kar rota hai beTa marg-e-madar par

    magar samjha hai us ko bhi moharram ki aza-dari

    mili jamiyat-e-KHatir bhi sufi ko to mahfil mein

    gawayya apni KHalwat mein jo gaya bhi to darbari

    miTe jate hain baham aashiq-o-mashuq ulfat mein

    magar stage par jis tarh karte hain ada-kari

    liye phirta hai shauq-e-KHud-numai sar pa shair ko

    abhi chalna nahin sikha hai ye farzand-be-kari

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now