Sufinama

mila hai mujhko wo dil jis ko gham ki KHu-si hai

Maikash Akbarabadi

mila hai mujhko wo dil jis ko gham ki KHu-si hai

Maikash Akbarabadi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    milā hai mujh ko vo dil jis ko ġham ḳhū-sī hai

    vo ā.gaye haiñ magar phir bhī justujū hai

    nazar nazar hai fasāna nafas nafas afsos

    ye ḳhāmoshī bhī magar tirī guftugū hai

    kisī se kah na sakūñ ḳhud yaqīñ kar na sakūñ

    ik intizār hai ik aarzū hai

    dimāġh-o-dil hai mo.attar girah khule na khule

    ye zindagī bhī tirī zulf-e-mushk-bū hai

    sabā rāsta bhūlī ki tuune yaad kiyā

    ye aaj kyuuñ mirī sāñsoñ meñ tirī hai

    sukūn dil ko kisī haal meñ nahīñ ai dost

    hujūm-e-yās meñ bhī ik aarzū hai

    junūñ se raunaq-e-bazm-e-ḳhirad ai 'maikash'

    jo ham na hoñ to duniyā maqām-e-hū hai

    mila hai mujh ko wo dil jis ko gham ki KHu-si hai

    wo aagaye hain magar phir bhi justuju si hai

    nazar nazar hai fasana nafas nafas afsos

    ye KHamoshi bhi magar teri guftugu si hai

    kisi se kah na sakun KHud yaqin kar na sakun

    ek intizar sa hai ek aarzu si hai

    dimagh-o-dil hai moattar girah khule na khule

    ye zindagi bhi teri zulf-e-mushk-bu si hai

    saba hi rasta bhuli ki tune yaad kiya

    ye aaj kyun meri sanson mein teri bu si hai

    sukun dil ko kisi haal mein nahin ai dost

    hujum-e-yas mein bhi ek aarzu si hai

    junun se raunaq-e-bazm-e-KHirad ai 'maikash'

    jo hum na hon to duniya maqam-e-hu si hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now