Sufinama

saqi hai mera wo shah-e-zaman subhan-allah subhan-allah

Akbar Warsi Meerthi

saqi hai mera wo shah-e-zaman subhan-allah subhan-allah

Akbar Warsi Meerthi

MORE BYAkbar Warsi Meerthi

    saaqī hai mirā vo shāh-e-zaman sub.hān-allāh sub.hān-allāh

    kyā ḳhuub khilā hai dil chaman sub.hān-allāh sub.hān-allāh

    jalve se tire hai kab ḳhālī phal phuul phalī patta Daalī

    hai rañg tirā gulshan gulshan sub.hān-allāh sub.hān-allāh

    nazdīk haiñ ye duur haiñ ye har vaqt nashe meñ chuur haiñ ye

    mastoñ hai saaqī se lagan sub.hān-allāh sub.hān-allāh

    gar dil meñ chashm-e-bīnā ho but-ḳhāna ho ka.aba ho

    ghar ghar meñ haiñ us ke darshan sub.hān-allāh sub.hān-allāh

    va-hova-ma.akum pukār aa.ī ahdum-minkum bahār aa.ī

    va-anā-basharun uThī chilman sub.hān-allāh sub.hān-allāh

    kyuuñ dhuum na merī ho har-sū āñkhoñ meñ basā hai

    fī-anfosekum ye joban sub.hān-allāh sub.hān-allāh

    jab zaat ke saath sifāt huī vahdat kasrat barāt huī

    haiñ aap dūlhā aap dūlhan sub.hān-allāh sub.hān-allāh

    vo pichhlī bāteñ duur kaaro aage aanā manzūr kaaro

    ab mujh meñ dekho apnī phaban sub.hān-allāh sub.hān-allāh

    jis vaqt guru ne daarū har roñgTā bolā allāh-hū

    anhad se rañg diyā tan-man sub.hān-allāh sub.hān-allāh

    bahrūp bharūñ deve jā۔ūñ ye sab zabāñ se kahlā.ūñ

    vo aa.ī 'vāris' jogan sub.hān-allāh sub.hān-allāh

    ābād rahe ye mai-ḳhāna 'akbar' ko pilā vo paimāna

    ho marte dam tak ye suḳhan sub.hān-allāh sub.hān-allāh

    saqi hai mera wo shah-e-zaman subhan-allah subhan-allah

    kya KHub khila hai dil ka chaman subhan-allah subhan-allah

    jalwe se tere hai kab KHali phal phul phali patta Dali

    hai rang tera gulshan gulshan subhan-allah subhan-allah

    nazdik hain ye ya dur hain ye har waqt nashe mein chur hain ye

    maston ki hai saqi se lagan subhan-allah subhan-allah

    gar dil mein chashm-e-bina ho but-KHana ho ya kaba ho

    ghar ghar mein hain us ke darshan subhan-allah subhan-allah

    wa-howa-makum ki pukar aai ahdum-minkum ki bahaar aai

    wa-ana-basharun ki uThi chilman subhan-allah subhan-allah

    kyun dhum na meri ho har-su aankhon mein basa hai tu hi tu

    fi-anfosekum ka ye joban subhan-allah subhan-allah

    jab zat ke sath sifat hui wahdat kasrat ki baraat hui

    hain aap hi dulha aap dulhan subhan-allah subhan-allah

    wo pichhli baaten dur karo aage aana manzur karo

    ab mujh mein dekho apni phaban subhan-allah subhan-allah

    jis waqt guru ne di daru har rongTa bola allah-hu

    anhad se rang diya tan-man subhan-allah subhan-allah

    bahrup bharun dewe ja۔un ye sab ki zaban se kahlaun

    wo aai 'waris' ki jogan subhan-allah subhan-allah

    aabaad rahe ye mai-KHana 'akbar' ko pila wo paimana

    ho marte dam tak ye hi suKHan subhan-allah subhan-allah

    Source :
    • Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 68)
    • Author : Mohammad Akbar Warsi
    • Publication : Matba Majidi, Meerut
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now