Sufinama

mujhe ishq ne ye sabaQ diya ki na hijr hai na visal hai

Aziz Safipuri

mujhe ishq ne ye sabaQ diya ki na hijr hai na visal hai

Aziz Safipuri

MORE BYAziz Safipuri

    mujhe ishq ne ye sabaQ diyā ki na hijr hai na visāl hai

    usī zaat maiñ zuhūr huuñ ye jamāl usī jamāl hai

    vahī sūrat aur vahī ā.īna jo ḳhayāl dil se ye jaaye na

    tu vo rū-ba-rū hai har ā.īna yahī shaan shān-e-kamāl hai

    koī aur haq ke sivā nahīñ azal-o-abad hai vo aap

    vahī aap lai-sa-kamislihī vahī aap apnī misāl hai

    mirī bandagī hai to bas yahī ki karūñ maiñ apnī bandagī

    yahī zikr hai yahī fikr hai yahī haal hai yahī qaal hai

    maiñ fidā-e-murshid-e-pāk huuñ dar-e-bārgāh ḳhaak huuñ

    vo samā ke mujh meñ ye kahte haiñ ki 'azīz' ġhair-muhāl hai

    mujhe ishq ne ye sabaQ diya ki na hijr hai na visal hai

    usi zat ka main zuhur hun ye jamal usi ka jamal hai

    wahi surat aur wahi aaina jo KHayal dil se ye jaye na

    tu wo ru-ba-ru hai har aaina yahi shan shan-e-kamal hai

    koi aur haq ke siwa nahin azal-o-abad hai wo aap hi

    wahi aap lai-sa-kamislihi wahi aap apni misal hai

    meri bandagi hai to bas yahi ki karun main apni hi bandagi

    yahi zikr hai yahi fikr hai yahi haal hai yahi qal hai

    main fida-e-murshid-e-pak hun dar-e-bargah ki KHak hun

    wo sama ke mujh mein ye kahte hain ki 'aziz' ghair-muhaal hai

    Source :
    • Book : Irfan-e-Azeez Intikhab-e-Kalam-e-Urdu (Pg. 112)
    • Author : Azeez Safipuri
    • Publication : Urdu Department, Aligarh Muslim University (1946)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now