Sufinama

hai muqaddar mein dar-e-yar pe sajid hona

Shah Akbar Danapuri

hai muqaddar mein dar-e-yar pe sajid hona

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    hai muqaddar meñ dar-e-yār pe sājid honā

    kyā pasand aa.e hameñ ābid-o-zāhid honā

    ka.aba-e-dil jise sab kahte haiñ vo ghar hai yahī

    is makāñ meñ hai zarūr aap vārid honā

    o baḌe ghar ke makīñ ka.aba ke mālik daatā

    ham faqīroñ se bhī kuchh vāhid-o-shāhid honā

    jumla a.adād meñ maujūd adad ek hai

    usī kasrat se hai sābit tirā vāhid honā

    mujh ko hotā hai gumāñ shāh-e-rusul par kuchh aur

    yaad aatā hai sikandar jo qāsid honā

    ham miTe aap par ai jaan to bane aap hasīñ

    ye hamīñ ne hai sikhāyā tumheñ shāhid honā

    us ko mumkin nahīñ hai kisī sūrat se shifā

    maraz-e-maut hai insān hāsid honā

    tire kūche meñ farishtoñ ke bhī par jalte haiñ

    kaam aa.egā na jibrīl qāsid honā

    kabhī manzil pe na pahūñchā koī be shar.a faqīr

    farz sālik pe hai pāband-e-a'qā.id honā

    raah ko chhoḌ ke be-rāh na honā 'akbar'

    saḳht dushvār muqallid ko hai mojid honā

    hai muqaddar mein dar-e-yar pe sajid hona

    kya pasand aae hamein aabid-o-zahid hona

    kaba-e-dil jise sab kahte hain wo ghar hai yahi

    is makan mein hai zarur aap ka warid hona

    o baDe ghar ke makin kaba ke malik data

    hum faqiron se bhi kuchh wahid-o-shahid hona

    jumla aadad mein maujud adad ek ka hai

    usi kasrat se hai sabit tera wahid hona

    mujh ko hota hai guman shah-e-rusul par kuchh aur

    yaad aata hai sikandar ka jo qasid hona

    hum miTe aap par ai jaan to bane aap hasin

    ye hamin ne hai sikhaya tumhein shahid hona

    us ko mumkin hi nahin hai kisi surat se shifa

    maraz-e-maut hai insan ka hasid hona

    tere kuche mein farishton ke bhi par jalte hain

    kaam aaega na jibril ka qasid hona

    kabhi manzil pe na pahuncha koi be shara faqir

    farz salik pe hai paband-e-a'qaid hona

    rah ko chhoD ke be-rah na hona 'akbar'

    saKHt dushwar muqallid ko hai mojid hona

    Source :
    • Book : Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 84)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Shaukat Shahjahani, Agra (1896)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now