Sufinama

koi samajh nahin sakta tujhe ki kya hai tu

Shah Akbar Danapuri

koi samajh nahin sakta tujhe ki kya hai tu

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    koī samajh nahīñ saktā tujhe ki kyā hai

    bas itnī baat samajhte haiñ ham ḳhudā hai

    hamāre 'uqda-e-lā-hal ko kholegā

    jahān-bhar ḳhudāyā girah-kushā hai

    tujhī ko DhūñD rahe haiñ ye DhūñDne vaale

    sabhoñ ko jis talab hai vo mudda.ā hai

    agar vasīla kisī nahīñ rahā to na ho

    hazār shukr ki ab merā aasrā hai

    bas ab to tujh se 'akbar' ne lau lagā.ī hai

    samajh meñ aa gayā ye masla kHudā hai

    koi samajh nahin sakta tujhe ki kya hai tu

    bas itni baat samajhte hain hum KHuda hai tu

    hamare 'uqda-e-la-hal ko tu hi kholega

    jahan-bhar ka KHudaya girah-kusha hai tu

    tujhi ko DhunD rahe hain ye DhunDne wale

    sabhon ko jis ki talab hai wo muddaa hai tu

    agar wasila kisi ka nahin raha to na ho

    hazar shukr ki ab mera aasra hai tu

    bas ab to tujh se hi 'akbar' ne lau lagai hai

    samajh mein aa gaya ye masla kHuda hai tu

    Source :
    • Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 86)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now