Sufinama

kya hosh-ruba hain teri aankhon ke pyale

Shah Akbar Danapuri

kya hosh-ruba hain teri aankhon ke pyale

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    kyā hosh-rubā haiñ tirī āñkhoñ ke pyāle

    saaqī maiñ chalā koī mujhe aa ke sambhāle

    jaan us ko kahā karte haiñ jo dard ko paale

    dil naam hai us jo taḌapne mazā le

    vo kahte haiñ dil thaam le o dekhne vaale

    maiñ kahtā huuñ dil aur use koī sambhāle

    bal kar rahe haiñ aaj bahut ruḳh pe ye kaale

    mantar bhī tujhe yaad hai au gesuoñ vaale

    duniyā meñ pata sachchī mohabbat nahīñ ab

    majnūñ qasam uTh ga.e sab chāhne vaale

    maġhrūr bhī kaj-ḳhulq bhī jāhil bhī hai zāhid

    karatā huuñ ise us tabī.at ke havāle

    kahte ho ki rauñdeñge na ham ḳhirman-e-hastī

    ye kahne hai baat zarā paañv sambhāle

    rakhā huā hai sāmne pushtāra-e-ulfat

    maidān meñ charḳh aa.e sakat ho to uThā le

    quvvat hai tire hukm meñ ai qādir-e-mutlaq

    chīñTī ko kahe to falak sar pe uThā le

    bulbul tirā ghar dekh liyā barq-e-tapāñ ne

    is shāḳh se ab apnā nasheman to uThā le

    miltī huī hai tujh se bahut merī tabī.at

    andāz na.e mere tire Dhañg nirāle

    nāzuk haiñ vo ruḳhsār to āñkhoñ se haiñ pinhāñ

    Darte haiñ nigāhoñ koī bojh na Daale

    achchhā huā dil de diyā tum ne kisī but ko

    'akbar' tumheñ paḌ jā.eñge ab jaan ke laale

    kya hosh-ruba hain teri aankhon ke pyale

    saqi main chala koi mujhe aa ke sambhaale

    jaan us ko kaha karte hain jo dard ko pale

    dil nam hai us ka jo taDapne ka maza le

    wo kahte hain dil tham le o dekhne wale

    main kahta hun dil aur use koi sambhaale

    bal kar rahe hain aaj bahut ruKH pe ye kale

    mantar bhi tujhe yaad hai au gesuon wale

    duniya mein pata sachchi mohabbat ka nahin ab

    majnun ki qasam uTh gae sab chahne wale

    maghrur bhi kaj-KHulq bhi jahil bhi hai zahid

    karata hun ise us ki tabiat ke hawale

    kahte ho ki raundenge na hum KHirman-e-hasti

    ye kahne ki hai baat zara panw sambhaale

    rakha hua hai samne pushtara-e-ulfat

    maidan mein charKH aae sakat ho to uTha le

    quwwat hai tere hukm mein ai qadir-e-mutlaq

    chinTi ko kahe tu to falak sar pe uTha le

    bulbul tera ghar dekh liya barq-e-tapan ne

    is shaKH se ab apna nasheman to uTha le

    milti hui hai tujh se bahut meri tabiat

    andaz nae mere tere Dhang nirale

    nazuk hain wo ruKHsar to aankhon se hain pinhan

    Darte hain nigahon ka koi bojh na Dale

    achchha hua dil de diya tum ne kisi but ko

    'akbar' tumhein paD jaenge ab jaan ke lale

    Source :
    • Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 192)
    • Author :Shah Akbar Danapuri
    • Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now