Sufinama

jis dil mein tera ghar na ho wo dil KHarab hai

jis dil meñ tirā ghar na ho vo dil ḳharāb hai

jo dil hai mahv yaad vahī kāmyāb hai

har shai meñ go hai is tajallī ayaañ magar

ye ġhāyat-e-zuhūr ḳhud us hijāb hai

hai misl-e-āftāb ayaañ bhī nihāñ bhī hai

aariz par tire fart-e-tajallī naqāb hai

ham meñ vo jalva-gar hai magar dekheñ kis tarah

apnā vajūd to sarāsar hijāb hai

jis dil mein tera ghar na ho wo dil KHarab hai

jo dil hai mahw yaad wahi kaamyab hai

har shai mein go hai is ki tajalli ayan magar

ye ghayat-e-zuhur KHud us ka hijab hai

hai misl-e-aftab ayan bhi nihan bhi hai

aariz par tere fart-e-tajalli naqab hai

hum mein wo jalwa-gar hai magar dekhen kis tarah

apna wajud hi to sarasar hijab hai

Source :
  • Book : Bihar men Urdu ki Sufiyana Shairi (Pg. 200)
  • Author :Mohammad Tayyab Abdali
  • Publication : Israr Karimi Press Allahabad (1988)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now