Sufinama

kaDke jo mera nala-e-shab-gir hawa par

Khwaja Ruknuddin Ishq

kaDke jo mera nala-e-shab-gir hawa par

Khwaja Ruknuddin Ishq

MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq

    kaḌke jo mirā nāla-e-shab-gīr havā par

    jal jāvai vahīñ barq shamshīr havā par

    uḌte hue dekhā jo dil-e-vahshī ko ġham se

    khā pech uḌī zulf zanjīr havā par

    be-kār falak se nahīñ ye TakTakī laagī

    khīñche hai tasavvur mirā tasvīr havā par

    kyūñkar na chaleñ gulshan-e-duniyā meñ ye luueñ

    ho ga.ī hai miyāñ aah tāsīr havā par

    yaañ dam bharosā nahīñ tadbīr se hāsil

    kartā hai divāne koī ta.amīr havā par

    baare kaho tum ishq ko kis taur na rove

    hai in dinoñ dūd-e-dil-e-dil-gīr havā par

    kaDke jo mera nala-e-shab-gir hawa par

    jal jawai wahin barq ki shamshir hawa par

    uDte hue dekha jo dil-e-wahshi ko gham se

    kha pech uDi zulf ki zanjir hawa par

    be-kar falak se nahin ye TakTaki lagi

    khinche hai tasawwur mera taswir hawa par

    kyunkar na chalen gulshan-e-duniya mein ye luen

    ho gai hai miyan aah ki tasir hawa par

    yan dam ka bharosa nahin tadbir se hasil

    karta hai diwane koi tamir hawa par

    bare kaho tum ishq ko kis taur na rowe

    hai in dinon dud-e-dil-e-dil-gir hawa par

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 99)
    • Author : Quraisha Husain
    • Publication : The Azad Press, Patna (1979)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now