Sufinama

tumhin ko jaana tumhin ko samjhe tamam aalam se tang ho kar

Ameer Minai

tumhin ko jaana tumhin ko samjhe tamam aalam se tang ho kar

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    tumhīñ ko jaanā tumhīñ ko samjhe tamām aalam se tañg ho kar

    duī vahdat meñ daḳhl kaisā rahe hamesha akañg ho kar

    nihāñ thā aanā ki ho na zāhir ayaañ thā jaanā ki sab hoñ bāhar

    vo dil meñ aa.e umañg ho kar ga.e to chehre rañg ho kar

    ġhazab hai insāñ dam-e-musībat kare jo insāñ se bevafā.ī

    ki dekho chakkī paaT kaise baham haiñ gardish meñ sañg ho kar

    na kor bātin ho ai barhaman zarā chashm-e-tamīz kar

    ḳhudā banda butoñ ko sajda ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar

    jo uTh ke pahlū se anjuman meñ vo duur baiThe haiñ mujh se kar

    taḌap ne dard-e-jigar ke dil ko paTak diyā hai uThā uThā kar

    jo aañkh kholī to kuchh na dekhā sahar ko sunsān sab sarā thī

    huā na ham-rāhiyoñ se itnā ki saath lete mujhe jagā kar

    na bhuul is zindagī pe ġhāfil nahīñ hai kuchh e'tibār is

    ki raah legī ye apnī ik din adam rasta tujhe batā kar

    usī hai rañg yāsman meñ usī bū-bās nastaran meñ

    jo khaḌke pattā bhī is chaman meñ ḳhayāl āvāz āshnā kar

    balā hai hirs-o-havā-e-duniyā ki jis se chakkar meñ sab haiñ insāñ

    kiyā pareshāñ in āñdhiyoñ ne tamām zarroñ ko ḳhaak uḌā kar

    ye kis teġh-e-jafā yārab har ek dil par hai ro.ab ġhālib

    hilāl hai ḳhamīda gardan sip.har chaltā hai sar jhukā kar

    shabīh madd-e-nazar hai kis ki koī puurī nahīñ utartī

    miTā diye sāne.a-e-azal ne hazāroñ naqshe banā banā kar

    ho bazm-e-jānāñ meñ hashr barpā taḌap dil ye thā taqāzā

    magar baḌī mushkiloñ se rokā adab ne zaanū dabā dabā kar

    tumhin ko jaana tumhin ko samjhe tamam aalam se tang ho kar

    dui ka wahdat mein daKHl kaisa rahe hamesha akang ho kar

    nihan tha aana ki ho na zahir ayan tha jaana ki sab hon bahar

    wo dil mein aae umang ho kar gae to chehre ka rang ho kar

    ghazab hai insan dam-e-musibat kare jo insan se bewafai

    ki dekho chakki ki paT kaise baham hain gardish mein sang ho kar

    na kor baatin ho ai barhaman zara tu chashm-e-tamiz wa kar

    KHuda ka banda buton ko sajda KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar

    jo uTh ke pahlu se anjuman mein wo dur baiThe hain mujh se ja kar

    taDap ne dard-e-jigar ke dil ko paTak diya hai uTha uTha kar

    jo aankh kholi to kuchh na dekha sahar ko sunsan sab sara thī

    hua na ham-rahiyon se itna ki sath lete mujhe jaga kar

    na bhul is zindagi pe ghafil nahin hai kuchh e'tibar is ka

    ki rah legi ye apnī ek din adam ka rasta tujhe bata kar

    usi ka hai rang yasman mein usi ki bu-bas nastaran mein

    jo khaDke patta bhi is chaman mein KHayal aawaz aashna kar

    bala hai hirs-o-hawa-e-duniya ki jis se chakkar mein sab hain insan

    kiya pareshan in aandhiyon ne tamam zarron ko KHak uDa kar

    ye kis ki tegh-e-jafa ka yarab har ek dil par hai roab ghaalib

    hilal ki hai KHamida gardan siphar chalta hai sar jhuka kar

    shabih madd-e-nazar hai kis ki ki koi puri nahin utarti

    miTa diye sanea-e-azal ne hazaron naqshe bana bana kar

    ho bazm-e-jaanan mein hashr barpa taDap ka dil ki ye tha taqaza

    magar baDi mushkilon se roka adab ne zanu daba daba kar

    Source :
    • Book : Kalam-e-Ameer Minayee (Pg. 60)
    • Author : Ameer Minayee
    • Publication : Mashwara Book Dopt. Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now