Sufinama

un ne kiya tha yaad mujhe bhul kar kahin

Khwaja Meer Dard

un ne kiya tha yaad mujhe bhul kar kahin

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    un ne kiyā thā yaad mujhe bhuul kar kahīñ

    paatā nahīñ huuñ tab se maiñ apnī ḳhabar kahīñ

    aa jaa.e aise jiine se apnā to ba-tañg

    jiitā rahegā kab talak ai ḳhizr mar kahīñ

    phirtī rahī taḌaptī 'ālam meñ jā-ba-jā

    dekhā na merī aah ne rū-e-asar kahīñ

    muddat talak jahān meñ hañste phirā kiye

    meñ hai kHuub roiye ab baiTh kar kahīñ

    yuuñ to nazar paḌe haiñ dil-afgār aur bhī

    dil-resh koī aap dekhā na par kahīñ

    zālim jafā jo chāhe so kar mujh pe vale

    pachhtāve phir to aap aisā na kar kahīñ

    phirte ho saj banā.e apnī jidhar-tidhar

    lag jaave dekhiyo na kasū nazar kahīñ

    pūchhā maiñ 'dard' se ki batā to sahī mujhe

    ai ḳHānamāñ-ḳHarāb hai tere bhī ghar kahīñ

    kahne lagā makān-e-muayyan faqīr ko

    lāzim hai kyā ki ek jāgah ho har kahīñ

    darvesh har kujā ki shab aamad sarā-e-ūst

    ne sunā nahīñ hai ye misra.a magar kahīñ

    un ne kiya tha yaad mujhe bhul kar kahin

    pata nahin hun tab se main apni KHabar kahin

    aa jae aise jine se apna to ji ba-tang

    jita rahega kab talak ai KHizr mar kahin

    phirti rahi taDapti hi 'alam mein ja-ba-ja

    dekha na meri aah ne ru-e-asar kahin

    muddat talak jahan mein hanste phira kiye

    ji mein hai kHub roiye ab baiTh kar kahin

    yun to nazar paDe haiñ dil-afgar aur bhi

    dil-resh koi aap sa dekha na par kahīñ

    zalim jafa jo chahe so kar mujh pe tu wale

    pachhtawe phir to aap hi aisa na kar kahin

    phirte ho saj banae tu apni jidhar-tidhar

    lag jawe dekhiyo na kasu nazar kahin

    puchha main 'dard' se ki bata to sahi mujhe

    ai ḳHanaman-ḳHarab hai tere bhi ghar kahin

    kahne laga makan-e-muayyan faqir ko

    lazim hai kya ki ek hi jagah ho har kahin

    darwesh har kuja ki shab aamad sara-e-ust

    tu ne suna nahin hai ye misra magar kahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now