Sufinama

har chehre mein aati hai nazar yar ki surat

Wasif Ali Wasif

har chehre mein aati hai nazar yar ki surat

Wasif Ali Wasif

MORE BYWasif Ali Wasif

    har chehre meñ aatī hai nazar yaar sūrat

    ahbāb sūrat ho ki aġhyār sūrat

    siine meñ agar soz salāmat ho to ḳhud

    ash.ār meñ Dhal jaatī hai afkār sūrat

    jis aañkh ne dekhā hai us aañkh ko dekhūñ

    hai us ke sivā kyā tire dīdār sūrat

    pahchān liyā tujh ko tirī shīshagarī se

    aatī hai nazar fan se fankār sūrat

    ashkoñ ne bayāñ kar diyā rāz-e-tamannā

    ham soch rahe the abhī iz.hār sūrat

    is ḳhaak meñ poshīda haiñ har rañg ke ḳhāke

    miTTī se nikalte haiñ jo gulzār sūrat

    dil haath par rakhā hai koī hai jo ḳharīde

    dekhūñ to zarā maiñ bhī ḳharīdār sūrat

    sūrat merī āñkhoñ meñ samā.egī na koī

    nazroñ meñ basī rahtī hai sarkār sūrat

    'vāsif' ko sardār pukārā hai kisī ne

    inkār sūrat hai na iqrār sūrat

    har chehre mein aati hai nazar yar ki surat

    ahbab ki surat ho ki aghyar ki surat

    sine mein agar soz salamat ho to KHud hi

    ashaar mein Dhal jati hai afkar ki surat

    jis aankh ne dekha hai us aankh ko dekhun

    hai us ke siwa kya tere didar ki surat

    pahchan liya tujh ko teri shishagari se

    aati hai nazar fan se hi fankar ki surat

    ashkon ne bayan kar hi diya raaz-e-tamanna

    hum soch rahe the abhi izhaar ki surat

    is KHak mein poshida hain har rang ke KHake

    miTTi se nikalte hain jo gulzar ki surat

    dil hath par rakha hai koi hai jo KHaride

    dekhun to zara main bhi KHaridar ki surat

    surat meri aankhon mein samaegi na koi

    nazron mein basi rahti hai sarkar ki surat

    'wasif' ko sardar pukara hai kisi ne

    inkar ki surat hai na iqrar ki surat

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now