Sufinama

ye teri jalwa-gariyan aankhon mein chha rahi hain

Shah Niyaz Ahmad Barelvi

ye teri jalwa-gariyan aankhon mein chha rahi hain

Shah Niyaz Ahmad Barelvi

MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi

    ye terī jalva-gariyāñ āñkhoñ meñ chhā rahī haiñ

    pyāre adā.eñ terī dil meñ samā rahī haiñ

    ġhamza ke lashkaroñ ko apnā tantana hai

    saj-dhaj jo dekho apnī naubat bajā rahī haiñ

    tarf-e-chaman huā hai shāyad guzar tumhārā

    jo aaj andalībeñ dhūmeñ machā rahī haiñ

    khul jaa.eñ terī nargis āñḳheñ jo dekhe us ko

    jab tak nahīñ hai dekhā bāteñ banā rahī haiñ

    mehrāb-e-sajda kahiye teġh in bhavoñ ko

    lākhoñ sar jo aage apne jhukā rahī haiñ

    e.ajāz kar rahī haiñ nāz-o-adā.en terī

    vo qatl kar rahī haiñ aur ye jilā rahī haiñ

    bhātā nahīñ hai koī tujh bin 'niyāz' ko ab

    terī pyārī bāteñ us ko to bhā rahī haiñ

    kyūñkar 'niyāz' maane auroñ ḳhush-kalāmī

    us ko to pyārī bāteñ pyāre bhā rahī hiiñ

    ye teri jalwa-gariyan aankhon mein chha rahi hain

    pyare adaen teri dil mein sama rahi hain

    ghamza ke lashkaron ko apna hi tantana hai

    saj-dhaj jo dekho apni naubat baja rahi hain

    tarf-e-chaman hua hai shayad guzar tumhaara

    jo aaj andaliben dhumen macha rahi hain

    khul jaen teri nargis aanKHen jo dekhe us ko

    jab tak nahin hai dekha baaten bana rahi hain

    mehrab-e-sajda kahiye ya tegh in bhawon ko

    lakhon hi sar jo aage apne jhuka rahi hain

    eajaz kar rahi hain naz-o-adaen teri

    wo qatl kar rahi hain aur ye jila rahi hain

    bhata nahin hai koi tujh bin 'niyaz' ko ab

    teri hi pyari baaten us ko to bha rahi hain

    kyunkar 'niyaz' mane auron ki KHush-kalami

    us ko to pyari baaten pyare ki bha rahi hin

    Source :
    • Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 147)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now