Sufinama

un nargisi aankhon ki allah re gahrai

Abdul Hadi Kavish

un nargisi aankhon ki allah re gahrai

Abdul Hadi Kavish

MORE BYAbdul Hadi Kavish

    un nargisī āñkhoñ allāh re gahrā.ī

    Duubī huī kaunain hastī bhī nazar aa.ī

    parda na rahā terā ai husn hayā-parvar

    rag rag meñ mujhe terī tasvīr nazar aa.ī

    thā raaz jo vābasta kal tak thā tire dam se

    har lamha mere dil meñ lene lagā añgḌā.ī

    mardoñ ta.alluq to allāh se hai vaa.iz

    hai us but-e-kāfir se zindoñ shanāsā.ī

    kyā Dar unheñ duniyā 'kāvish' ho zamāne meñ

    jo fātih-e-Khaibar ke kahlāte haiñ shaidā.ī

    un nargisi aankhon ki allah re gahrai

    Dubi hui kaunain ki hasti bhi nazar aai

    parda na raha tera ai husn haya-parwar

    rag rag mein mujhe teri taswir nazar aai

    tha raaz jo wabasta kal tak tha tere dam se

    har lamha mere dil mein lene laga angDai

    mardon ka talluq to allah se hai waiz

    hai us but-e-kafir se zindon ki shanasai

    kya Dar unhen duniya ka 'kawish' ho zamane mein

    jo fatih-e-Khaibar ke kahlate hain shaidai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now