Sufinama

dil jigar ko ashana-e-dard-e-ulfat kar diya

Abdul Hadi Kavish

dil jigar ko ashana-e-dard-e-ulfat kar diya

Abdul Hadi Kavish

MORE BYAbdul Hadi Kavish

    dil jigar ko ashānā-e-dard-e-ulfat kar diyā

    ik nigāh-e-nāz ne sāmān-e-rāhat kar diyā

    DhūñDhtā phirtā thā tujh ko jā-bajā ai yaar maiñ

    vo pilā.ī ne mujh ko rāz-e-vahdat kar diyā

    chashm-e-nargis ishāra ke ham ne ai sanam

    ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-tamannā ḳhūn-e-hasrat kar diyā

    vaqf har ik saañs kar zikr-e-jānāñ ke liye

    dil dhaḌkan ko ham-āhañg-e-ulfat kar diyā

    dekhiye har taraf rañgīniyāñ haiñ husn

    zindagī ko ishq ne āġhosh-e-jannat kar diyā

    dekhte dekhte gum hoga.ī kul kā.enāt

    har tasavvur ham ne 'kāvish' vaqf-e-sūrat kar diyā

    dil jigar ko ashana-e-dard-e-ulfat kar diya

    ek nigah-e-naz ne saman-e-rahat kar diya

    DhunDhta phirta tha tujh ko ja-baja ai yar main

    wo pilai tu ne mujh ko raaz-e-wahdat kar diya

    chashm-e-nargis ka ishaara pa ke hum ne ai sanam

    KHun-e-dil KHun-e-tamanna KHun-e-hasrat kar diya

    waqf har ek sans kar di zikr-e-jaanan ke liye

    dil ki dhaDkan ko ham-ahang-e-ulfat kar diya

    dekhiye tu har taraf ranginiyan hain husn ki

    zindagi ko ishq ne aaghosh-e-jannat kar diya

    dekhte hi dekhte gum hogai kul kaenat

    har tasawwur hum ne 'kawish' waqf-e-surat kar diya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now