Sufinama

jashn-e-amad-e-rasul allah hi allah

Aabid Barelvi

jashn-e-amad-e-rasul allah hi allah

Aabid Barelvi

MORE BYAabid Barelvi

    jashn-e-āmad-e-rasūl allāh allāh

    biibī aamna ke phuul allāh allāh

    jab ki sarkār tashrīf laane lage

    hūr-o-ġhilmāñ bhī ḳhushiyāñ manāne lage

    har taraf nuur raushnī chhā ga.ī

    mustafā kyā mile zindagī mil ga.ī

    ai halīma terī god meñ aa ga.e

    donoñ aalam ke rasūl allāh allāh

    chehra-e-mustafa jabki dikhāyā gayā

    chhup ga.e taare aur chāñd sharmā gayā

    aamna dekh kar muskurāne lagīñ

    havvā mariyam bhī ḳhushiyāñ manāne lagīñ

    aamna biibī sab se ye kahne lagīñ

    duā ho ga.ī qabūl allāh allāh

    shādyāne ḳhushī ke bajā.e ga.e

    shaad ke naġhme sab ko sunā.e ga.e

    har taraf shor salle-alā ho gayā

    aaj paidā habīb-e-ḳhudā ho gayā

    phir to jibrīl ne bhī ye elaan kiyā

    ye ḳhudā ke haiñ rasūl allāh allāh

    un saaya zamīñ par na paayā gayā

    nuur se nuur dekho judā na huā

    ham ko 'ābid' nabī par baḌā naaz hai

    kyā bhalā mere aaqā andāz hai

    jis ne ruḳh par malī vo shifā gayā

    ḳhāk-e-taiba terī dhuul allāh allāh

    jashn-e-amad-e-rasul allah hi allah

    bibi aamna ke phul allah hi allah

    jab ki sarkar tashrif lane lage

    hur-o-ghilman bhi KHushiyan manane lage

    har taraf nur ki raushni chha gai

    mustafa kya mile zindagi mil gai

    ai halima teri god mein aa gae

    donon aalam ke rasul allah hi allah

    chehra-e-mustafa jabki dikhaya gaya

    chhup gae tare aur chand sharma gaya

    aamna dekh kar muskurane lagin

    hawwa mariyam bhi KHushiyan manane lagin

    aamna bibi sab se ye kahne lagin

    dua ho gai qabul allah hi allah

    shadyane KHushi ke bajae gae

    shad ke naghme sab ko sunae gae

    har taraf shor salle-ala ho gaya

    aaj paida habib-e-KHuda ho gaya

    phir to jibril ne bhi ye elan kiya

    ye KHuda ke hain rasul allah hi allah

    un ka saya zamin par na paya gaya

    nur se nur dekho juda na hua

    hum ko 'abid' nabi par baDa naz hai

    kya bhala mere aaqa ka andaz hai

    jis ne ruKH par mali wo shifa pa gaya

    KHak-e-taiba teri dhul allah hi allah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now