Sufinama

tha dhyan mein naqsha jo teri jalwagari ka

Ameer Minai

tha dhyan mein naqsha jo teri jalwagari ka

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    thā dhyān meñ naqsha jo tirī jalvagarī

    muñh pher liyā dekh ke ruḳh ham ne parī

    āḳhir huuñ maiñ a.alam hai charāġh-e-saharī

    lo jald ḳhabar vaqt nahīñ be-ḳhabarī

    har sub.h ko ye shor hai murġh-e-saharī

    chauñko ki zamāna na rahā be-ḳhabarī

    vaqfa nahīñ ab bazm se hotā hai ye ruḳhsat

    muñh dekh rahā huuñ maiñ charāġh-e-saharī

    detā hai ḳhabar par ḳhabar ahbāb uThnā

    parda nahīñ uThtā hai magar be-ḳhabarī

    mastī meñ kahīñ dekh us maah raftār

    bahkā huā paḌtā hai qadam kabk-e-darī

    allāh qudrat tamāshā vo sanam hai

    chehra hai agar huur joban hai parī

    mai-ḳhāne meñ daur-e-mai-e-gul-rañg nahīñ hai

    indar ke akhāḌe meñ ye hai raqs parī

    yaad aatā hai gulzār meñ us gul vo sonā

    aanā vo dabe paañv nasīm-e-saharī

    Dar hai ye ḳhabar uḌ ke na sayyād ko pahuñche

    achchhā nahīñ charchā mirī be-bāl-o-parī

    kuchh roz abhī sabr kar ai panja-e-vahshat

    be-mausam-e-gul lutf nahīñ jāma-darī

    ahbāb dam-e-naz.a mujhe dekh rahe haiñ

    muñh takte haiñ parvāne charāġh-e-saharī

    ghabrā ke chale aa.e mere ghar vo amiir aaj

    ehsān huā mujh par mirī be-ḳhabarī

    tha dhyan mein naqsha jo teri jalwagari ka

    munh pher liya dekh ke ruKH hum ne pari ka

    aaKHir hun main aalam hai charagh-e-sahari ka

    lo jald KHabar waqt nahin be-KHabari ka

    har subh ko ye shor hai murgh-e-sahari ka

    chaunko ki zamana na raha be-KHabari ka

    waqfa nahin ab bazm se hota hai ye ruKHsat

    munh dekh raha hun main charagh-e-sahari ka

    deta hai KHabar par KHabar ahbab ka uThna

    parda nahin uThta hai magar be-KHabari ka

    masti mein kahin dekh li us mah ki raftar

    bahka hua paDta hai qadam kabk-e-dari ka

    allah ki qudrat ka tamasha wo sanam hai

    chehra hai agar hur ka joban hai pari ka

    mai-KHane mein daur-e-mai-e-gul-rang nahin hai

    indar ke akhaDe mein ye hai raqs pari ka

    yaad aata hai gulzar mein us gul ka wo sona

    aana wo dabe panw nasim-e-sahari ka

    Dar hai ye KHabar uD ke na sayyaad ko pahunche

    achchha nahin charcha meri be-baal-o-pari ka

    kuchh roz abhi sabr kar ai panja-e-wahshat

    be-mausam-e-gul lutf nahin jama-dari ka

    ahbab dam-e-naza mujhe dekh rahe hain

    munh takte hain parwane charagh-e-sahari ka

    ghabra ke chale aae mere ghar wo amir aaj

    ehsan hua mujh par meri be-KHabari ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now