Sufinama

guzashta KHak-nashinon ki yaadgar hun main

Ameer Minai

guzashta KHak-nashinon ki yaadgar hun main

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    guzashta ḳhāk-nashīnoñ yādgār huuñ maiñ

    miTā huā nishān-e-sar-e-mazār huuñ maiñ

    ġharīb chāhne vāloñ meñ tere yaar huuñ maiñ

    dimāġh arsh pe zāhir meñ ḳhāksār huuñ maiñ

    tire karam meñ kamī kuchh nahīñ karīm hai

    mirā qusūr hai jhūTā ummīd-vār huuñ maiñ

    paḌā hai dast-e-ajal mujh pe laakh baar magar

    nikal gayā huuñ taḌap kar vo be-qarār huuñ maiñ

    kuchh aaj maiñ ne na.ī hai hazrat-e-vā.is

    azal mast purānā sharāb-ḳhvār huuñ maiñ

    nigāh-e-garm se mujh ko na dekh ai dozaḳh

    ḳhabar nahīñ tujhe kis gunāh-gār huuñ maiñ

    zamīn-e-qasr-e-salātīñ se aa rahī hai sadā

    ki aaj manzil-e-ishrat huuñ kal mazār huuñ maiñ

    phir us shān-e-karīmī ke hausle dekhe

    gunāhgār ye kah de gunāhgār huuñ maiñ

    jo mast hosh meñ aane qasd karatā hai

    pukārtā hai ye saaqī ki hoshiyār huuñ maiñ

    vo kushta huuñ ki mirī laash jis taraf guzrī

    zamīñ pukār uThī qābil-e-mazār huuñ maiñ

    huzūr-e-vasl hasrat azal se hai mujh ko

    ḳhayāl kījiye kab se umīd-vār huuñ maiñ

    ḳhabar nahīñ use rotā huuñ haal par jis ke

    udaas sūrat-e-sham.a-e-sar-e-mazār huuñ meñ

    shab-e-firāq mirī jaan dil se kahtī hai

    taḌap chukā ho agar to be-qarār huuñ maiñ

    balā.eñ letī hai phir phir ke gard-e-naumīdī

    ye kis ke dar par ilāhī umīd-vār huuñ maiñ

    vo be-qarār huuñ dekhe agar taḌap merī

    qarār bhī ye pukāre ki be-qarār huuñ maiñ

    pukārtā hai ye mūbāf us choTī

    ki sab se pīchhe huuñ par choTī siñgār huuñ maiñ

    baḌe maze se guzartī hai be-ḳhudī meñ 'amīr'

    vo din ḳhudā na dikhā.e ki hoshiyār huuñ maiñ

    guzashta KHak-nashinon ki yaadgar hun main

    miTa hua sa nishan-e-sar-e-mazar hun main

    gharib chahne walon mein tere yar hun main

    dimagh arsh pe zahir mein KHaksar hun main

    tere karam mein kami kuchh nahin karim hai tu

    mera qusur hai jhuTa ummid-war hun main

    paDa hai dast-e-ajal mujh pe lakh bar magar

    nikal gaya hun taDap kar wo be-qarar hun main

    kuchh aaj main ne nai pi hai hazrat-e-wais

    azal ka mast purana sharab-KHwar hun main

    nigah-e-garm se mujh ko na dekh ai dozaKH

    KHabar nahin tujhe kis ka gunah-gar hun main

    zamin-e-qasr-e-salatin se aa rahi hai sada

    ki aaj manzil-e-ishrat hun kal mazar hun main

    phir us ki shan-e-karimi ke hausle dekhe

    gunahgar ye kah de gunahgar hun main

    jo mast hosh mein aane ka qasd karata hai

    pukarta hai ye saqi ki hoshiyar hun main

    wo kushta hun ki meri lash jis taraf guzri

    zamin pukar uThi qabil-e-mazar hun main

    huzur-e-wasl ki hasrat azal se hai mujh ko

    KHayal kijiye kab se umid-war hun main

    KHabar nahin use rota hun haal par jis ke

    udas surat-e-shama-e-sar-e-mazar hun mein

    shab-e-firaq meri jaan dil se kahti hai

    taDap chuka ho agar tu to be-qarar hun main

    balaen leti hai phir phir ke gard-e-naumidi

    ye kis ke dar par ilahi umid-war hun main

    wo be-qarar hun dekhe agar taDap meri

    qarar bhi ye pukare ki be-qarar hun main

    pukarta hai ye mubaf us ki choTi ka

    ki sab se pichhe hun par choTi ka singar hun main

    baDe maze se guzarti hai be-KHudi mein 'amir'

    wo din KHuda na dikhae ki hoshiyar hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now