Sufinama

aaina tere husn ka dil bhi hai jigar bhi

Ameer Minai

aaina tere husn ka dil bhi hai jigar bhi

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    ā.īna tire husn dil bhī hai jigar bhī

    hai ek sūrat ki idhar bhī hai udhar bhī

    ḳhurshīd bhī us nuur maz.har hai qamar bhī

    ai be-basro kuchh tumheñ aatā hai nazar bhī

    saaqī huuñ tirī bazm meñ maiñ tishna jigar bhī

    sadqe tirī āñkhoñ ke koī jaam idhar bhī

    to chashm-e-suḳhan-go se mujhe pūchh de itnā

    haiñ bāteñ bāteñ ki hai kuchh madd-e-nazar bhī

    kumhlā.e chale jaate haiñ gul kis hai aamad

    ghabrā.ī huī phirtī hai kuchh bād-e-sahar bhī

    kyā paas nahīñ mere jo tum ġhair se māñgo

    pahlū meñ mere dil bhī hai siine meñ jigar bhī

    allāh re nā-taqatī-o-zo'f a.alam

    maiñ kyā ki pahuñchtī nahīñ vaañ merī ḳhabar bhī

    muñh mahr-e-falak jo idhar ko nahīñ phirtā

    shāyad koī ma.ashūq tumhīñ hai udhar bhī

    kyā jāniye kyā haal hai yārān-e-adam

    ik umr huī hai nahīñ aa.ī hai ḳhabar bhī

    vo chehra-e-pur-nūr hai ik barq-e-tajallī

    kis aañkh se dekhūñ maiñ Thahartī hai nazar bhī

    but-ḳhāne se dil apnā na ka.abe se phirā hai

    kuchh soch ke anjām idhar bhī hai udhar bhī

    ruk ruk ke jo chaltā hai gale par mere ḳhanjar

    kuchh dil meñ hai qātil ke tarahhum asar bhī

    kis kis gilā kījiye yā-rab ki shab-e-vasl

    dushman hai muazzin tarah murġh-e-sahar bhī

    kyā tañg hai jallād mirī saḳhtī-e-jāñ se

    har vaar pe kahtā hai ki zālim kahīñ mar bhī

    joban mirī āñkhoñ meñ phirā gul-badanoñ

    gadrā.e hue baaġh meñ dekhe jo samar bhī

    raftār tirī dekh ke kahte haiñ farishte

    allāhu ġhanī ek fitna hai bashar bhī

    maqsūd maza hai to 'amīr' aur kaho sher

    hoñge inhīñ phūloñ inhīñ pattoñ meñ samar bhī

    aaina tere husn ka dil bhi hai jigar bhi

    hai ek hi surat ki idhar bhi hai udhar bhi

    KHurshid bhi us nur ka mazhar hai qamar bhi

    ai be-basro kuchh tumhein aata hai nazar bhi

    saqi hun teri bazm mein main tishna jigar bhi

    sadqe teri aankhon ke koi jam idhar bhi

    to chashm-e-suKHan-go se mujhe puchh de itna

    hain baaten hi baaten ki hai kuchh madd-e-nazar bhi

    kumhlae chale jate hain gul kis ki hai aamad

    ghabrai hui phirti hai kuchh baad-e-sahar bhi

    kya pas nahin mere jo tum ghair se mango

    pahlu mein mere dil bhi hai sine mein jigar bhi

    allah re na-taqati-o-zo'f ka aalam

    main kya ki pahunchti nahin wan meri KHabar bhi

    munh mahr-e-falak ka jo idhar ko nahin phirta

    shayad koi mashuq tumhin sa hai udhar bhi

    kya jaaniye kya haal hai yaran-e-adam ka

    ek umr hui hai nahin aai hai KHabar bhi

    wo chehra-e-pur-nur hai ek barq-e-tajalli

    kis aankh se dekhun main Thaharti hai nazar bhi

    but-KHane se dil apna na kabe se phira hai

    kuchh soch ke anjam idhar bhi hai udhar bhi

    ruk ruk ke jo chalta hai gale par mere KHanjar

    kuchh dil mein hai qatil ke tarahhum ka asar bhi

    kis kis ka gila kijiye ya-rab ki shab-e-wasl

    dushman hai muazzin ki tarah murgh-e-sahar bhi

    kya tang hai jallad meri saKHti-e-jaan se

    har war pe kahta hai ki zalim kahin mar bhi

    joban meri aankhon mein phira gul-badanon ka

    gadrae hue bagh mein dekhe jo samar bhi

    raftar teri dekh ke kahte hain farishte

    allahu ghani ek hi fitna hai bashar bhi

    maqsud maza hai to 'amir' aur kaho sher

    honge inhin phulon inhin patton mein samar bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now