Sufinama

KHudi se be-KHudi mein aa jo shauq-e-haq-parasti hai

Ameer Minai

KHudi se be-KHudi mein aa jo shauq-e-haq-parasti hai

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    ḳhudī se be-ḳhudī meñ aa jo shauq-e-haq-parastī hai

    jise nīstī samjhā hai ai ġhāfil vo hastī hai

    kahīñ zaa.id kahīñ kam bāda-e-irfāñ mastī hai

    ba-qadr-e-vus.at-e-mashrab maqām-e-mai-parastī hai

    tire qurbān ai marg-e-ġharībī jald ab le chal

    vatan ke dekhne ko ruuh muddat se tarastī hai

    ġhazab ke josh meñ hai duḳhtar-e-raz ḳhair ho saaqī

    bharī baiThī hai dekhā chāhiye kis par barastī hai

    dil-e-vīrāñ ko mere dekh kar kahtī hai vīrānī

    ḳhudā ābād rakhe is ko kyā dilchasp bastī hai

    na shāḳh-e-gul ūñchī hai na dīvār-e-chaman bulbul

    tirī himmat kotāhī tirī qismat pastī hai

    na ghabrā ai dile-vāmāñda ab manzil qarīb aa.ī

    isī bastī ke aage aur ābād ek bastī hai

    na ho jo aap meñ us se phir pās-e-adab kaisā

    takalluf bar-taraf saaqī vaqt-e-josh-e-mastī hai

    nigāh-e-nāz ḳhāl-e-ruḳh se maidān-e-mohabbat meñ

    sitam ke tiir paḌte haiñ ġhazab golī barastī hai

    judā ham aur dast-e-ġhair-o-zulf-e-dilbar-o-shānā

    ḳhudā shaan jo paspā the un ko pesh-dastī hai

    ḳhudā jaane tirā lag gayā duniyā meñ kyuuñ ai dil

    ujaaḌ ik chand ghar haiñ be-haqīqat ye bastī hai

    qadam jis ḳhaak par paḌtā hai tere ḳhāk-sāroñ

    agar iksīr ke moloñ vo haath aa.e to sastī hai

    balā.eñ lete lete mast ho jaatī hai mashshāta

    vo choTī argaje ke itr meñ jis vaqt bastī hai

    raheñ kyūñkar na gird us rū-e-ātish rañg ke gesū

    ibādat hinduoñ ke diin meñ ātish-parastī hai

    nahīñ bachtā hai dil par daaġh terī zulf-e-pechāñ se

    ye vo nāgin hai jo tā.ūs ko uḌ uḌ ke Dastī hai

    'amīr' aatī hai ye āvāz nāqūs-e-barahman se

    but-e-pindār ko toḌo jo shauq-e-but-parastī hai

    KHudi se be-KHudi mein aa jo shauq-e-haq-parasti hai

    jise tu nisti samjha hai ai ghafil wo hasti hai

    kahin zaid kahin kam baada-e-irfan ki masti hai

    ba-qadr-e-wusat-e-mashrab maqam-e-mai-parasti hai

    tere qurban ai marg-e-gharibi jald ab le chal

    watan ke dekhne ko ruh muddat se tarasti hai

    ghazab ke josh mein hai duKHtar-e-raz KHair ho saqi

    bhari baiThi hai dekha chahiye kis par barasti hai

    dil-e-viran ko mere dekh kar kahti hai virani

    KHuda aabaad rakhe is ko kya dilchasp basti hai

    na shaKH-e-gul hi unchi hai na diwar-e-chaman bulbul

    teri himmat ki kotahi teri qismat ki pasti hai

    na ghabra ai dile-wamanda ab manzil qarib aai

    isi basti ke aage aur aabaad ek basti hai

    na ho jo aap hi mein us se phir pas-e-adab kaisa

    takalluf bar-taraf saqi ki waqt-e-josh-e-masti hai

    nigah-e-naz KHal-e-ruKH se maidan-e-mohabbat mein

    sitam ke tir paDte hain ghazab goli barasti hai

    juda hum aur dast-e-ghair-o-zulf-e-dilbar-o-shana

    KHuda ki shan jo paspa the un ko pesh-dasti hai

    KHuda jaane tera ji lag gaya duniya mein kyun ai dil

    ujaD ek chand ghar hain be-haqiqat si ye basti hai

    qadam jis KHak par paDta hai tere KHak-saron ka

    agar iksir ke molon wo hath aae to sasti hai

    balaen lete lete mast ho jati hai mashshata

    wo choTi argaje ke itr mein jis waqt basti hai

    rahen kyunkar na gird us ru-e-atish rang ke gesu

    ibaadat hinduon ke din mein aatish-parasti hai

    nahin bachta hai dil par dagh teri zulf-e-pechan se

    ye wo nagin hai jo taus ko uD uD ke Dasti hai

    'amir' aati hai ye aawaz naqus-e-barahman se

    but-e-pindar ko toDo jo shauq-e-but-parasti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now