Sufinama

ye kis be-dard kis zalim par apna dam nikalta hai

Ameer Minai

ye kis be-dard kis zalim par apna dam nikalta hai

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    ye kis be-dard kis zālim par apnā dam nikaltā hai

    ye rah rah kar kalejā chuTkiyoñ se kaun maltā hai

    tire bīmār kaam ab baḌī mushkil se chaltā hai

    ki dard uTh kar badalvātā hai tab karvaT badaltā hai

    bahār ā-pahuñchī hai shāyad ki dāmān-o-garebāñ meñ

    ba-ham ye bahs hai dekheñ ki kaun aage nikaltā hai

    zarūr aafat koī aa.ī hai dil par varna ai hamdam

    taḌaptā loTtā kyuuñ aañkh se aañsū nikaltā hai

    tirā bīmār ai īsā-nafas bigḌā hai ab aisā

    sambhālā bhī sambhāle aa ke to vo kab sambhaltā hai

    hameñ dhaḌkā hai aisā us ke uTh jaane mahfil se

    badal jaatā hai rañg apnā jo vo zaanū badaltā hai

    hinā kyuuñ dekh kar us ko pisī jaatī hai gulshan meñ

    lahū ushshāq maltā hai mehñdī kab vo maltā hai

    chhiḌakte haiñ vo afshāñ gesūoñ par ḳhair ho dil

    musāfir chhāoñ meñ tāroñ ke ghar se chal nikaltā hai

    ḳhudā bhī ājizoñ ājizī suntā hai mahshar meñ

    baḌī sarkār meñ darbār meñ ye uzr chaltā hai

    rulā detī haiñ hañstī sūrateñ un ḳhūb-rūyoñ

    ye tifl-e-ashk inhīñ pyāre khilaunoñ par machaltā hai

    ye kis garmiyoñ se phuñk rahī hai sham.a mahfil meñ

    ki parvāna paroñ se shab ko pañkhā roz jhaltā hai

    zarā jaan hai par dil jigar parvāne dekho

    ki jaltī aag meñ kis shauq se gir gir ke jaltā hai

    jo kahtā huuñ ki merā dam nikaltā hai to kahte haiñ

    hamāre vasl armān to yūñhī nikaltā hai

    tumhārī garmiyāñ aafat haiñ hijr-o-vasl donoñ meñ

    koī dozaḳh meñ phuktā hai koī jannat meñ jaltā hai

    ajab taqdīr paa.ī hai 'amīr' is dār-e-duniyā ne

    nahīñ aatā phir is ghar meñ jo is ghar se nikaltā hai

    ye kis be-dard kis zalim par apna dam nikalta hai

    ye rah rah kar kaleja chuTkiyon se kaun malta hai

    tere bimar ka kaam ab baDi mushkil se chalta hai

    ki dard uTh kar badalwata hai tab karwaT badalta hai

    bahaar aa-pahunchi hai shayad ki daman-o-gareban mein

    ba-ham ye bahs hai dekhen ki kaun aage nikalta hai

    zarur aafat koi aai hai dil par warna ai hamdam

    taDapta loTta kyun aankh se aansu nikalta hai

    tera bimar ai isa-nafas bigDa hai ab aisa

    sambhaala bhi sambhaale aa ke to wo kab sambhalta hai

    hamein dhaDka hai aisa us ke uTh jaane ka mahfil se

    badal jata hai rang apna jo wo zanu badalta hai

    hina kyun dekh kar us ko pisi jati hai gulshan mein

    lahu ushshaq ka malta hai mehndi kab wo malta hai

    chhiDakte hain wo afshan gesuon par KHair ho dil ki

    musafir chhaon mein taron ke ghar se chal nikalta hai

    KHuda bhi aajizon ki aajizi sunta hai mahshar mein

    baDi sarkar mein darbar mein ye uzr chalta hai

    rula deti hain hansti suraten un KHub-ruyon ki

    ye tifl-e-ashk inhin pyare khilaunon par machalta hai

    ye kis ki garmiyon se phunk rahi hai shama mahfil mein

    ki parwana paron se shab ko pankha roz jhalta hai

    zara si jaan hai par dil jigar parwane ka dekho

    ki jalti aag mein kis shauq se gir gir ke jalta hai

    jo kahta hun ki mera dam nikalta hai to kahte hain

    hamare wasl ka arman to yunhi nikalta hai

    tumhaari garmiyan aafat hain hijr-o-wasl donon mein

    koi dozaKH mein phukta hai koi jannat mein jalta hai

    ajab taqdir pai hai 'amir' is dar-e-duniya ne

    nahin aata phir is ghar mein jo is ghar se nikalta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now