Sufinama

mere bas mein ya to yarab wo sitam-shiar hota

Ameer Minai

mere bas mein ya to yarab wo sitam-shiar hota

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    mere bas meñ to yārab vo sitam-shi.ār hotā

    ye na thā to kaash dil par mujhe iḳhtiyār hotā

    pas-e-marg kaash yuuñ mujhe vasl-e-yār hotā

    vo sar-e-mazār hotā maiñ tah-e-mazār hotā

    tirā mai-kada salāmat tire ḳhum ḳhair saaqī

    mirā nashsha kyuuñ utartā mujhe kyuuñ ḳhumār hotā

    mere ittiqā baa.is to hai merī nā-tavānī

    jo maiñ tauba toḌ saktā to sharāb-ḳhvār hotā

    maiñ huuñ nā-murād aisā ki bilak ke yaas rotī

    kahīñ ke aasrā kuchh jo umīd-vār hotā

    nahīñ pūchhtā hai mujh ko koī phuul is chaman meñ

    dil-e-dāġh-dār hotā to gale haar hotā

    vo mazā diyā taḌap ne ki ye aarzū hai yārab

    mere donoñ pahluoñ meñ dil-e-be-qarār hotā

    dam-e-naz.a bhī jo vo but mujhe aa ke muñh dikhātā

    to ḳhudā ke muñh se itnā na maiñ sharmsār hotā

    na malak savāl karte na lahad fishār detī

    sar-e-rāh-e-kū-e-qātil jo mirā mazār hotā

    jo nigāh thī zālim to phir aañkh kyuuñ churā.ī

    vahī tiir kyuuñ na maarā jo jigar ke paar hotā

    maiñ zabāñ se tum ko sachchā kaho laakh baar kah duuñ

    ise kyā karūñ ki dil ko nahīñ e'tibār hotā

    mirī ḳhaak bhī lahad meñ na rahī 'amīr' baaqī

    unheñ marne ab tak nahīñ e'tibār hotā

    mere bas mein ya to yarab wo sitam-shiar hota

    ye na tha to kash dil par mujhe iKHtiyar hota

    pas-e-marg kash yun hi mujhe wasl-e-yar hota

    wo sar-e-mazar hota main tah-e-mazar hota

    tera mai-kada salamat tere KHum ki KHair saqi

    mera nashsha kyun utarta mujhe kyun KHumar hota

    mere ittiqa ka bais to hai meri na-tawani

    jo main tauba toD sakta to sharab-KHwar hota

    main hun na-murad aisa ki bilak ke yas roti

    kahin pa ke aasra kuchh jo umid-war hota

    nahin puchhta hai mujh ko koi phul is chaman mein

    dil-e-dagh-dar hota to gale ka haar hota

    wo maza diya taDap ne ki ye aarzu hai yarab

    mere donon pahluon mein dil-e-be-qarar hota

    dam-e-naza bhi jo wo but mujhe aa ke munh dikhata

    to KHuda ke munh se itna na main sharmsar hota

    na malak sawal karte na lahad fishaar deti

    sar-e-rah-e-ku-e-qatil jo mera mazar hota

    jo nigah ki thi zalim to phir aankh kyun churai

    wahi tir kyun na mara jo jigar ke par hota

    main zaban se tum ko sachcha kaho lakh bar kah dun

    ise kya karun ki dil ko nahin e'tibar hota

    meri KHak bhi lahad mein na rahi 'amir' baqi

    unhen marne hi ka ab tak nahin e'tibar hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now