Sufinama

apni dhun mein hun KHayal-e-ma-siwa se kya gharaz

Zaheen Shah Taji

apni dhun mein hun KHayal-e-ma-siwa se kya gharaz

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    apnī dhun meñ huuñ ḳhayāl-e-mā-sivā se kyā ġharaz

    āshnā se kyā ġharaz nā-āshnā se kyā ġharaz

    baat kuchh dil sunī ai nisbat-e-zāt-o-sifāt

    ho butoñ se be-niyāzī to ḳhudā se kyā ġharaz

    zindagī avval-o-āḳhir thī vo pahlī nazar

    ibtidā se kyā ta.alluq intihā se kyā ġharaz

    mudda.ā aamoz hai husn-e-tamannā āfrīñ

    is dil-e-be-mudda.ā ko mudda.ā se kyā ġharaz

    umr bhar us jafā ko ham vafā samjhā kiye

    kyā ḳhabar vābasta thī us be-vafā se kyā ġharaz

    hus-e-mustaġhnā ham ne baat rakh ai 'zhīn'

    varna ishq-e-be-ġharaz ko iltijā se kyā ġharaz

    apni dhun mein hun KHayal-e-ma-siwa se kya gharaz

    aashna se kya gharaz na-ashna se kya gharaz

    baat kuchh dil ki suni ai nisbat-e-zat-o-sifat

    ho buton se be-niyazi to KHuda se kya gharaz

    zindagi ka awwal-o-aKHir thi wo pahli nazar

    ibtida se kya talluq intiha se kya gharaz

    muddaa aamoz hai husn-e-tamanna aafrin

    is dil-e-be-muddaa ko muddaa se kya gharaz

    umr bhar us ki jafa ko hum wafa samjha kiye

    kya KHabar wabasta thi us be-wafa se kya gharaz

    hus-e-mustaghna ki hum ne baat rakh li ai 'zhin'

    warna ishq-e-be-gharaz ko iltija se kya gharaz

    Source :
    • Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 83)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now