bulwaen mujhe shad jo sultan-e-madina
bulwaen mujhe shad jo sultan-e-madina
Maharaja Kishan Prasad Shaad
MORE BYMaharaja Kishan Prasad Shaad
bulvā.eñ mujhe shaad jo sultān-e-madīna
jaate hī maiñ ho jā.ūñgā qurbān-e-madīna
vo ghar se ḳhudā kā to ye mahbūb-e-ḳhudā haiñ
kā'be se bhī 'aalā na ho kyuuñ shān-e-madīna
rokeñge na darbār meñ jaane ke liye shaad
pahchānte haiñ sab mujhe darbān-e-madīna
le jā.ūñgā maiñ saath faqat 'ishq-e-mohammad
tohfa hai mire paas ye shāyān-e-madīna
khole dar-e-jannat ko yahī kahtā hai rizvāñ
be-ḳhauf chale jaa.eñ ġhilmān-e-madīna
nashsha hai vo un ko jo utartā hī nahīñ hai
tauhīd kī mai piite haiñ mastān-e-madīna
allāh dikhā de tū mujhe rauza-e-aqdas
baaqī kahīñ rah jaa.e na armān-e-madīna
kyuuñ merī shafā'at meñ bhalā der lagegī
kyā mujh ko nahīñ jānte sultān-e-madīna
momin jo nahīñ huuñ to maiñ kāfir bhī nahīñ huuñ
is ramz se āgāh haiñ sultān-e-madīna
bulwaen mujhe shad jo sultan-e-madina
jate hi main ho jaunga qurban-e-madina
wo ghar se KHuda ka to ye mahbub-e-KHuda hain
ka'be se bhi 'ala na ho kyun shan-e-madina
rokenge na darbar mein jaane ke liye shad
pahchante hain sab mujhe darban-e-madina
le jaunga main sath faqat 'ishq-e-mohammad
tohfa hai mere pas ye shayan-e-madina
khole dar-e-jannat ko yahi kahta hai rizwan
be-KHauf chale jaen ghilman-e-madina
nashsha hai wo un ko jo utarta hi nahin hai
tauhid ki mai pite hain mastan-e-madina
allah dikha de tu mujhe rauza-e-aqdas
baqi kahin rah jae na arman-e-madina
kyun meri shafa'at mein bhala der lagegi
kya mujh ko nahin jaante sultan-e-madina
momin jo nahin hun to main kafir bhi nahin hun
is ramz se aagah hain sultan-e-madina
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 125)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.