Sufinama

haye dekha hi nahin musa ne aalam nur ka

Chandar Bhan Kaifi Dehlvi

haye dekha hi nahin musa ne aalam nur ka

Chandar Bhan Kaifi Dehlvi

MORE BYChandar Bhan Kaifi Dehlvi

    haaye dekhā nahīñ muusā ne 'ālam nuur

    varna har kohsār se paidā hai jalva tuur

    aa rahī hai qulqul-e-mīnā se haq haq sadā

    duur hai ab mai-kade meñ बादा-ए-मंसूर

    tīra-baḳhtī le ke aa.ī hai ba-sad ijz-o-niyāz

    ka.aba-e-dil ke liye mahmil shab-e-daijūr

    kar rahī hai har nazar apnā nazāra aap

    farq kahne ke liye hai nāzir-o-manzūr

    chashm-e-mast-e-nāz 'kaifī' shikāyat hai 'abas

    laḌkhaḌātā hai qadam har maikash-e-makHmūr

    haye dekha hi nahin musa ne 'alam nur ka

    warna har kohsar se paida hai jalwa tur ka

    aa rahi hai qulqul-e-mina se haq haq ki sada

    dur hai ab mai-kade mein बादा-ए-मंसूर ka

    tira-baKHti le ke aai hai ba-sad ijz-o-niyaz

    kaba-e-dil ke liye mahmil shab-e-daijur ka

    kar rahi hai har nazar apna nazara aap hi

    farq kahne ke liye hai nazir-o-manzur ka

    chashm-e-mast-e-naz ki 'kaifi' shikayat hai 'abas

    laDkhaData hai qadam har maikash-e-makHmur ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now